Sher on Aagahi
As opposed to that adage
that ignorance is bliss, we may pose a question as to what worth is a human being if he does not know, or is not enlightened. We deserve our exalted human status because we know but knowing is also a philosophical preoccupation. This has been a subject of bigger discourse in our times and poets have philosophized upon it exhaustively. Here are some examples for your perusal.
apne man meñ Duub kar pā jā surāġh-e-zindagī
tū agar merā nahīñ bantā na ban apnā to ban
apne man mein Dub kar pa ja suragh-e-zindagi
tu agar mera nahin banta na ban apna to ban
-
Tag : Mashwara
āgahī karb vafā sabr tamannā ehsās
mere hī siine meñ utre haiñ ye ḳhanjar saare
aagahi karb wafa sabr tamanna ehsas
mere hi sine mein utre hain ye KHanjar sare
-
Tags : Ehsaasand 3 more
apnī hastī hī se ho jo kuchh ho
āgahī gar nahīñ ġhaflat hī sahī
Should be with one's own being whatever that you see
If not with enlightenment then with ignorance let be
apni hasti hi se ho jo kuchh ho
aagahi gar nahin ghaflat hi sahi
Should be with one's own being whatever that you see
If not with enlightenment then with ignorance let be
tirā vasl hai mujhe be-ḳhudī tirā hijr hai mujhe āgahī
tirā vasl mujh ko firāq hai tirā hijr mujh ko visāl hai
tera wasl hai mujhe be-KHudi tera hijr hai mujhe aagahi
tera wasl mujh ko firaq hai tera hijr mujh ko visal hai
-
Tags : Bekhudiand 2 more
'saudā' jo be-ḳhabar hai vahī yaañ kare hai aish
mushkil bahut hai un ko jo rakhte haiñ āgahī
'sauda' jo be-KHabar hai wahi yan kare hai aish
mushkil bahut hai un ko jo rakhte hain aagahi
shikva-e-zulmat-e-shab se to kahīñ behtar thā
apne hisse kī koī sham.a jalāte jaate
shikwa-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
apne hisse ki koi shama jalate jate
umr jo be-ḳhudī meñ guzrī hai
bas vahī āgahī meñ guzrī hai
umr jo be-KHudi mein guzri hai
bas wahi aagahi mein guzri hai
-
Tag : Bekhudi
āgahī se milī hai tanhā.ī
aa mirī jaan mujh ko dhokā de
aagahi se mili hai tanhai
aa meri jaan mujh ko dhoka de
āgahī dām-e-shunīdan jis qadar chāhe bichhā.e
mudda.ā anqā hai apne ālam-e-taqrīr kā
aagahi dam-e-shunidan jis qadar chahe bichhae
muddaa anqa hai apne aalam-e-taqrir ka
agar shu.ūr na ho to bahisht hai duniyā
baḌe azaab meñ guzrī hai āgahī ke saath
agar shuur na ho to bahisht hai duniya
baDe azab mein guzri hai aagahi ke sath
ik zamāne tak badan be-ḳhvāb be-ādāb the
phir achānak apnī uryānī kā andāza huā
ek zamane tak badan be-KHwab be-adab the
phir achanak apni uryani ka andaza hua
ḳhudā kā matlab hai ḳhud meñ aa tū ḳhud-āgahī hai ḳhudā-shanāsī
ḳhudā ko ḳhud se judā samajh kar bhaTak rahā hai idhar udhar kyuuñ
KHuda ka matlab hai KHud mein aa tu KHud-agahi hai KHuda-shanasi
KHuda ko KHud se juda samajh kar bhaTak raha hai idhar udhar kyun
jin se zinda ho yaqīn o āgahī kī aabrū
ishq kī rāhoñ meñ kuchh aise gumāñ karte chalo
jin se zinda ho yaqin o aagahi ki aabru
ishq ki rahon mein kuchh aise guman karte chalo
yahī aa.ina hai vo ā.īna jo liye hai jalva-e-āgahī
ye jo shā.erī kā shu.ūr hai ye payambarī kī talāsh hai
yahi aaina hai wo aaina jo liye hai jalwa-e-agahi
ye jo shaeri ka shuur hai ye payambari ki talash hai
ujālā 'ilm kā phailā to hai chāroñ taraf yaaro
basīrat aadmī kī kuchh magar kam hotī jaatī hai
ujala 'ilm ka phaila to hai chaaron taraf yaro
basirat aadmi ki kuchh magar kam hoti jati hai
-
Tag : Ilm
na pūchhiye ki vo kis karb se guzarte haiñ
jo āgahī ke sabab aish-e-bandagī se ga.e
na puchhiye ki wo kis karb se guzarte hain
jo aagahi ke sabab aish-e-bandagi se gae
junūñ ke kaif-o-kam se āgahī tujh ko nahīñ nāseh
guzartī hai jo dīvānoñ pe dīvāne samajhte haiñ
junun ke kaif-o-kam se aagahi tujh ko nahin naseh
guzarti hai jo diwanon pe diwane samajhte hain
āgahī bhūlne detī nahīñ hastī kā ma.aal
TuuT ke ḳhvāb bikhartā hai to hañs dete haiñ
aagahi bhulne deti nahin hasti ka maal
TuT ke KHwab bikharta hai to hans dete hain
charāġh sāmne vaale makān meñ bhī na thā
ye sāneha mire vahm-o-gumān meñ bhī na thā
charagh samne wale makan mein bhi na tha
ye saneha mere wahm-o-guman mein bhi na tha
-
Tag : Charagh
pahāḌ jaisī azmatoñ kā dāḳhila thā shahr meñ
ki log āgahī kā ishtihār le ke chal diye
pahaD jaisi azmaton ka daKHila tha shahr mein
ki log aagahi ka ishtihaar le ke chal diye
jaise jaise āgahī baḌhtī ga.ī vaise 'zahīr'
zehn o dil ik dūsre se munfasil hote ga.e
jaise jaise aagahi baDhti gai waise 'zahir'
zehn o dil ek dusre se munfasil hote gae
is kār-e-āgahī ko junūñ kah rahe haiñ log
mahfūz kar rahe haiñ fazā meñ sadā.eñ ham
is kar-e-agahi ko junun kah rahe hain log
mahfuz kar rahe hain faza mein sadaen hum
kyā ho sake hisāb ki jab āgahī kahe
ab tak to rā.egānī meñ saarā safar kiyā
kya ho sake hisab ki jab aagahi kahe
ab tak to raegani mein sara safar kiya
Dubo.e detā hai ḳhud-āgahī kā baar mujhe
maiñ Dhaltā nashsha huuñ mauj-e-tarab ubhār mujhe
Duboe deta hai KHud-agahi ka bar mujhe
main Dhalta nashsha hun mauj-e-tarab ubhaar mujhe
urūj-e-māh ko insāñ samajh gayā lekin
hanūz azmat-e-insāñ se āgahī kam hai
uruj-e-mah ko insan samajh gaya lekin
hanuz azmat-e-insan se aagahi kam hai
āgahī ne diye ib.hām ke dhoke kyā kyā
sharh-e-alfāz jo likkhī to ishāre likkhe
aagahi ne diye ibham ke dhoke kya kya
sharh-e-alfaz jo likkhi to ishaare likkhe
junūñ kī ḳhair ho tujh ko 'asar' milā sab kuchh
ye kaifiyat bhī zarūrī thī āgahī ke liye
junun ki KHair ho tujh ko 'asar' mila sab kuchh
ye kaifiyat bhi zaruri thi aagahi ke liye
ham āgahī ko rote haiñ aur āgahī hameñ
vāraftagi-e-shauq kahāñ le chalī hameñ
hum aagahi ko rote hain aur aagahi hamein
waraftagi-e-shauq kahan le chali hamein