Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Azra Waheed's Photo'

Azra Waheed

Azra Waheed

Ghazal 9

Nazm 1

 

Sher-o-Shayari 8

diloñ meñ talḳhiyāñ phir bhī nazar meñ muskurāhaT ho

balā ke habs meñ bhī ho havā aisā bhī hotā hai

dilon mein talKHiyan phir bhi nazar mein muskurahaT ho

bala ke habs mein bhi ho hawa aisa bhi hota hai

āgahī ne diye ib.hām ke dhoke kyā kyā

sharh-e-alfāz jo likkhī to ishāre likkhe

aagahi ne diye ibham ke dhoke kya kya

sharh-e-alfaz jo likkhi to ishaare likkhe

tujh ko paa.eñ tujhe kho baiTheñ phir

zindagī ek thī Dar kitne the

tujh ko paen tujhe kho baiThen phir

zindagi ek thi Dar kitne the

bādaloñ aas us ke saath ruḳhsat huī

shahr ko vo aag be-rahmīyāñ bhī de gayā

baadalon ki aas us ke sath hi ruKHsat hui

shahr ko wo aag ki be-rahmiyan bhi de gaya

maiñ kaun huuñ ki hai sab kāñch vajūd mirā

mirā libās bhī mailā dikhā.ī detā hai

main kaun hun ki hai sab kanch ka wajud mera

mera libas bhi maila dikhai deta hai

BOOKS 1

 

Recitation

Speak Now