masale zer-e-nazar kitne the
mas.ale zer-e-nazar kitne the
ahl-e-dil ahl-e-hunar kitne the
hashr aa.e to yahī faisla ho
kitne insāñ the bashar kitne the
kāsa-e-chashm meñ ummīd liye
jo bhī the ḳhāk-basar kitne the
saarī bastī meñ makāñ the behad
jo khule rahte the dar kitne the
vo jo āsā.ishoñ meñ tulte the
sañg-e-marmar ke vo ghar kitne the
tujh ko paa.eñ tujhe kho baiTheñ phir
zindagī ek thī Dar kitne the
kitne dariyā the kināre kitne
manzileñ kitnī safar kitne the
har taraf dhuup kī yalġhāreñ thiiñ
har taraf mom ke ghar kitne the
kitnī āñkhoñ ne gavāhī dī thī
dhuup kitnī thī shajar kitne the
kitne shab-ḳhūn abhī taak meñ haiñ
luT ga.e the jo nagar kitne the
vaqt kī gard ye qadmoñ ke nishāñ
soch lo bār-e-digar kitne the
kachchī bastī ke makīñ bhī gin lo
shahr meñ sāhab-e-zar kitne the
masale zer-e-nazar kitne the
ahl-e-dil ahl-e-hunar kitne the
hashr aae to yahi faisla ho
kitne insan the bashar kitne the
kasa-e-chashm mein ummid liye
jo bhi the KHak-basar kitne the
sari basti mein makan the behad
jo khule rahte the dar kitne the
wo jo aasaishon mein tulte the
sang-e-marmar ke wo ghar kitne the
tujh ko paen tujhe kho baiThen phir
zindagi ek thi Dar kitne the
kitne dariya the kinare kitne
manzilen kitni safar kitne the
har taraf dhup ki yalghaaren thin
har taraf mom ke ghar kitne the
kitni aankhon ne gawahi di thi
dhup kitni thi shajar kitne the
kitne shab-KHun abhi tak mein hain
luT gae the jo nagar kitne the
waqt ki gard ye qadmon ke nishan
soch lo bar-e-digar kitne the
kachchi basti ke makin bhi gin lo
shahr mein sahab-e-zar kitne the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.