Javed Kamal Rampuri
Ghazal 14
Nazm 4
Sher-o-Shayari 10
aa.ī thī chand gaam usī be-vafā ke saath
phir umr bhar ko bhuul ga.ī zindagī hameñ
aai thi chand gam usi be-wafa ke sath
phir umr bhar ko bhul gai zindagi hamein
- Add to favorites
-
Share this
darvāzoñ ke pahre haiñ dīvāroñ ke sañgīneñ
hotā jo mire bas meñ is ghar se nikal jaatā
darwazon ke pahre hain diwaron ke sanginen
hota jo mere bas mein is ghar se nikal jata
- Add to favorites
-
Share this
din ke siine meñ dhaḌakte hue lamhoñ kī qasam
shab kī raftār-e-subuk-gām se jī Dartā hai
din ke sine mein dhaDakte hue lamhon ki qasam
shab ki raftar-e-subuk-gam se ji Darta hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ham āgahī ko rote haiñ aur āgahī hameñ
vāraftagi-e-shauq kahāñ le chalī hameñ
hum aagahi ko rote hain aur aagahi hamein
waraftagi-e-shauq kahan le chali hamein
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
phir ka.ī zaḳhm-e-dil mahak uTThe
phir kisī bevafā kī yaad aa.ī
phir kai zaKHm-e-dil mahak uTThe
phir kisi bewafa ki yaad aai
- Add to favorites
-
Share this