Gulzar Dehlvi
Ghazal 18
Nazm 1
Sher-o-Shayari 4
umr jo be-ḳhudī meñ guzrī hai
bas vahī āgahī meñ guzrī hai
umr jo be-KHudi mein guzri hai
bas wahi aagahi mein guzri hai
-
Share this
- See Ghazal
jahāñ insāniyat vahshat ke hāthoñ zab.h hotī ho
jahāñ tazlīl hai jiinā vahāñ behtar hai mar jaanā
jahan insaniyat wahshat ke hathon zabh hoti ho
jahan tazlil hai jina wahan behtar hai mar jaana
-
Share this
- See Ghazal
miir ke ba.ad ġhālib o iqbāl
ik sadā, ik sadī meñ guzrī hai
mir ke baad ghaalib o iqbaal
ek sada, ek sadi mein guzri hai
-
Share this
- See Ghazal
haa.e kyā daur-e-zindagī guzrā
vāqiye ho ga.e kahānī se
hae kya daur-e-zindagi guzra
waqiye ho gae kahani se
-
Share this
- See Ghazal
Qita 3
BOOKS 32
Image Shayari 2
us sitamgar kii mehrbaanii se dil ulajhtaa hai zindagaanii se KHaak se kitnii suurate.n ubhrii.n dhul ga.e naqsh kitne paanii se ham se puuchho to zulm behtar hai in hasiino.n kii mehrbaanii se aur bhii kyaa qayaamat aa.egii puuchhnaa hai tirii javaanii se dil sulagtaa hai ashk bahte hai.n aag bujhtii nahii.n hai paanii se hasrat-e-umr-e-jaavedaa.n le kar jaa rahe hai.n saraa-e-faanii se haa.e kyaa daur-e-zindagii guzraa vaaqiye ho ga.e kahaanii se kitnii KHush-fahmiyo.n ke but to.De tuu ne gulzaar KHush-bayaanii se