Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umr jo be-KHudi mein guzri hai

Gulzar Dehlvi

umr jo be-KHudi mein guzri hai

Gulzar Dehlvi

umr jo be-ḳhudī meñ guzrī hai

bas vahī āgahī meñ guzrī hai

koī mauj-e-nasīm se pūchhe

kaisī āvārgī meñ guzrī hai

un bhī rah sakī na dārā.ī

jin askandarī meñ guzrī hai

aasrā un rahbarī Thahrī

jin ḳhud rahzanī meñ guzrī hai

aas ke jugnūo sadā kis

zindagī raushnī meñ guzrī hai

ham-nashīnī pe faḳhr kar nādāñ

sohbat-e-ādmī meñ guzrī hai

yuuñ to shā.er bahut se guzre haiñ

apnī bhī shā.erī meñ guzrī hai

miir ke ba.ad ġhālib o iqbāl

ik sadā, ik sadī meñ guzrī hai

umr jo be-KHudi mein guzri hai

bas wahi aagahi mein guzri hai

koi mauj-e-nasim se puchhe

kaisi aawargi mein guzri hai

un ki bhi rah saki na darai

jin ki askandari mein guzri hai

aasra un ki rahbari Thahri

jin ki KHud rahzani mein guzri hai

aas ke jugnuo sada kis ki

zindagi raushni mein guzri hai

ham-nashini pe faKHr kar nadan

sohbat-e-admi mein guzri hai

yun to shaer bahut se guzre hain

apni bhi shaeri mein guzri hai

mir ke baad ghaalib o iqbaal

ek sada, ek sadi mein guzri hai

Source :
  • Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 301)
  • Author : Professor Unwan Chishti
  • Edition : 1989
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have exhausted your 5 free content pages. Please Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now