Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Himayat Ali Shayar's Photo'

Himayat Ali Shayar

1926 - 2019 | Toronto, Canada

Sher of Himayat Ali Shayar

3.9K
Favorite

SORT BY

is dasht pe ehsāñ na kar ai abr-e-ravāñ aur

jab aag ho nam-ḳhurda to uThtā hai dhuāñ aur

is dasht pe ehsan na kar ai abr-e-rawan aur

jab aag ho nam-KHurda to uThta hai dhuan aur

maiñ sach to boltā huuñ magar ai ḳhudā-e-harf

jis meñ sochtā hai mujhe vo zabān de

main sach to bolta hun magar ai KHuda-e-harf

tu jis mein sochta hai mujhe wo zaban de

'shā.ir' un dostī ab bhī dam bharte haiñ aap

Thokareñ khā kar to sunte haiñ sambhal jaate haiñ log

'shair' un ki dosti ka ab bhi dam bharte hain aap

Thokaren kha kar to sunte hain sambhal jate hain log

tārīkī meñ lipTī huī pur-haul ḳhamoshī

is aalam meñ kyā nahīñ mumkin jāgte rahnā

tariki mein lipTi hui pur-haul KHamoshi

is aalam mein kya nahin mumkin jagte rahna

har qadam par nit-na.e sāñche meñ Dhal jaate haiñ log

dekhte dekhte kitne badal jaate haiñ log

har qadam par nit-nae sanche mein Dhal jate hain log

dekhte hi dekhte kitne badal jate hain log

phir mirī aas baḌhā kar mujhe māyūs na kar

hāsil-e-ġham ko ḳhudā-rā ġham-e-hāsil na banā

phir meri aas baDha kar mujhe mayus na kar

hasil-e-gham ko KHuda-ra gham-e-hasil na bana

raushnī meñ apnī shaḳhsiyat pe jab bhī sochnā

apne qad ko apne saa.e se bhī kam-tar dekhnā

raushni mein apni shaKHsiyat pe jab bhi sochna

apne qad ko apne sae se bhi kam-tar dekhna

tujh se vafā na to kisī se vafā na

kis tarah intiqām liyā apne aap se

tujh se wafa na ki to kisi se wafa na ki

kis tarah intiqam liya apne aap se

sirf zinda rahne ko zindagī nahīñ kahte

kuchh ġham-e-mohabbat ho kuchh ġham-e-jahāñ yaaro

sirf zinda rahne ko zindagi nahin kahte

kuchh gham-e-mohabbat ho kuchh gham-e-jahan yaro

sham.a ke mānind ahl-e-anjuman se be-niyāz

aksar apnī aag meñ chup chaap jal jaate haiñ log

shama ke manind ahl-e-anjuman se be-niyaz

aksar apni aag mein chup chap jal jate hain log

zindagī baat sun kar kyā kaheñ

ik tamannā thī taqāzā ban ga.ī

zindagi ki baat sun kar kya kahen

ek tamanna thi taqaza ban gai

sūraj ko ye ġham hai ki samundar bhī hai pāyāb

rab mire qulzum meñ koī sail-e-ravāñ aur

suraj ko ye gham hai ki samundar bhi hai payab

ya rab mere qulzum mein koi sail-e-rawan aur

is jahāñ meñ to apnā saaya bhī

raushnī ho to saath chaltā hai

is jahan mein to apna saya bhi

raushni ho to sath chalta hai

is dasht-e-suḳhan meñ koī kyā phuul khilā.e

chamkī jo zarā dhuup to jalne lage saa.e

is dasht-e-suKHan mein koi kya phul khilae

chamki jo zara dhup to jalne lage sae

sūraj ke ujāle meñ charāġhāñ nahīñ mumkin

sūraj ko bujhā do ki zamīñ jashn manā.e

suraj ke ujale mein charaghan nahin mumkin

suraj ko bujha do ki zamin jashn manae

badan pe pairahan-e-ḳhāk ke sivā kyā hai

mire alaav meñ ab raakh ke sivā kyā hai

badan pe pairahan-e-KHak ke siwa kya hai

mere alaw mein ab rakh ke siwa kya hai

kis liye kiije kisī gum-gashta jannat talāsh

jab ki miTTī ke khilaunoñ se bahal jaate haiñ log

kis liye kije kisi gum-gashta jannat ki talash

jab ki miTTi ke khilaunon se bahal jate hain log

apne kisī amal pe nadāmat nahīñ mujhe

thā nek-dil bahut jo gunahgār mujh meñ thā

apne kisi amal pe nadamat nahin mujhe

tha nek-dil bahut jo gunahgar mujh mein tha

har taraf ik muhīb sannāTā

dil dhaḌaktā to hai magar ḳhāmosh

har taraf ek muhib sannaTa

dil dhaDakta to hai magar KHamosh

maiñ sochtā huuñ is liye shāyad maiñ zinda huuñ

mumkin hai ye gumān haqīqat gyaan de

main sochta hun is liye shayad main zinda hun

mumkin hai ye guman haqiqat ka gyan de

īmāñ bhī laaj rakh na sakā mere jhuuT

apne ḳhudā pe kitnā mujhe e'timād thā

iman bhi laj rakh na saka mere jhuT ki

apne KHuda pe kitna mujhe e'timad tha

ham bhī haiñ kisī kahf ke as.hāb ke mānind

aisā na ho jab aañkh khule vaqt guzar jaa.e

hum bhi hain kisi kahf ke ashab ke manind

aisa na ho jab aankh khule waqt guzar jae

ye kaisā qāfila hai jis meñ saare log tanhā haiñ

ye kis barzaḳh meñ haiñ ham sab tumheñ bhī sochnā hogā

ye kaisa qafila hai jis mein sare log tanha hain

ye kis barzaKH mein hain hum sab tumhein bhi sochna hoga

rah jaa.e ik nigāh parda darmiyāñ

tahzīb ke badan se to rasm-e-qabā uThī

rah jae ek nigah ka parda hi darmiyan

tahzib ke badan se to rasm-e-qaba uThi

maiñ kuchh na kahūñ aur ye chāhūñ ki mirī baat

ḳhushbū tarah uḌ ke tire dil meñ utar jaa.e

main kuchh na kahun aur ye chahun ki meri baat

KHushbu ki tarah uD ke tere dil mein utar jae

ab na koī manzil hai aur na rahguzar koī

jaane qāfila bhaTke ab kahāñ kahāñ yaaro

ab na koi manzil hai aur na rahguzar koi

jaane qafila bhaTke ab kahan kahan yaro

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now