Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna

Himayat Ali Shayar

aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna

Himayat Ali Shayar

aañkh qismat hai ab bahtā samundar dekhnā

aur phir ik Dūbte sūraj manzar dekhnā

shaam ho jaa.e to din ġham manāne ke liye

ek shola munavvar apne andar dekhnā

raushnī meñ apnī shaḳhsiyat pe jab bhī sochnā

apne qad ko apne saa.e se bhī kam-tar dekhnā

sañg-e-manzil isti.āra sañg-e-marqad na ho

apne zinda jism ko patthar banā kar dekhnā

kaisī aahaT hai pas-e-dīvār āḳhir kaun hai

aañkh bantā rahā hai rauzan-e-dar dekhnā

aisā lagtā hai ki dīvāroñ meñ dar khul jā.eñge

sāya-e-dīvār ke ḳhāmosh tevar dekhnā

ik taraf uḌte abābīl ik taraf as.hāb-e-fīl

ab ke apne kāba-e-jāñ muqaddar dekhnā

safha-e-qirtās hai zañg-ḳhurda ā.īna

likh rahe haiñ aaj kyā apne suḳhan-var dekhnā

aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna

aur phir ek Dubte suraj ka manzar dekhna

sham ho jae to din ka gham manane ke liye

ek shola sa munawwar apne andar dekhna

raushni mein apni shaKHsiyat pe jab bhi sochna

apne qad ko apne sae se bhi kam-tar dekhna

sang-e-manzil istiara sang-e-marqad ka na ho

apne zinda jism ko patthar bana kar dekhna

kaisi aahaT hai pas-e-diwar aaKHir kaun hai

aankh banta ja raha hai rauzan-e-dar dekhna

aisa lagta hai ki diwaron mein dar khul jaenge

saya-e-diwar ke KHamosh tewar dekhna

ek taraf uDte ababil ek taraf ashab-e-fil

ab ke apne kaba-e-jaan ka muqaddar dekhna

safha-e-qirtas hai ya zang-KHurda aaina

likh rahe hain aaj kya apne suKHan-war dekhna

RECITATIONS

Nomaan Shauque

Nomaan Shauque,

00:00/00:00
Nomaan Shauque

aankh ki qismat hai ab bahta samundar dekhna Nomaan Shauque

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now