Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Hafeez Jaunpuri's Photo'

Hafeez Jaunpuri

1865 - 1918 | Jaunpur, India

Famous for his sher, 'Baith jaata hun jahan chhanv ghani hoti hai.'

Famous for his sher, 'Baith jaata hun jahan chhanv ghani hoti hai.'

Sher of Hafeez Jaunpuri

9.2K
Favorite

SORT BY

bosa-e-ruḳhsār par takrār rahne dījiye

lījiye dījiye inkār rahne dījiye

bosa-e-ruKHsar par takrar rahne dijiye

lijiye ya dijiye inkar rahne dijiye

baiTh jaatā huuñ jahāñ chhāñv ghanī hotī hai

haa.e kyā chiiz ġharīb-ul-vatanī hotī hai

TRANSLATION

I sit down wherever I see a shady space,

Ah! What a thing it is to live in another place.

Sagar Akbarabadi

baiTh jata hun jahan chhanw ghani hoti hai

hae kya chiz gharib-ul-watani hoti hai

TRANSLATION

I sit down wherever I see a shady space,

Ah! What a thing it is to live in another place.

Sagar Akbarabadi

tandurustī se to behtar thī mirī bīmārī

vo kabhī pūchh to lete the ki haal achchhā hai

tandurusti se to behtar thi meri bimari

wo kabhi puchh to lete the ki haal achchha hai

hasīnoñ se faqat sāhib-salāmat duur achchhī

na un dostī achchhī na un dushmanī achchhī

hasinon se faqat sahib-salamat dur ki achchhi

na un ki dosti achchhi na un ki dushmani achchhi

ab mujhe māneñ na māneñ ai 'hafīz'

mānte haiñ sab mire ustād ko

ab mujhe manen na manen ai 'hafiz'

mante hain sab mere ustad ko

aadmī aadmī har haal meñ hamdard ho

ik tavajjoh chāhiye insāñ ko insāñ taraf

aadmi ka aadmi har haal mein hamdard ho

ek tawajjoh chahiye insan ko insan ki taraf

hameñ yaad rakhnā hameñ yaad karnā

agar koī taaza sitam yaad aa.e

hamein yaad rakhna hamein yaad karna

agar koi taza sitam yaad aae

mirī sharāb tauba pe na ai vaa.iz

nashe baat nahīñ e'tibār ke qābil

meri sharab ki tauba pe ja na ai waiz

nashe ki baat nahin e'tibar ke qabil

bahut duur to kuchh nahīñ ghar mirā

chale aao ik din Tahalte hue

bahut dur to kuchh nahin ghar mera

chale aao ek din Tahalte hue

kar do ghūñT dekh zāhid

kyā tujh se kahūñ sharāb kyā hai

pi kar do ghunT dekh zahid

kya tujh se kahun sharab kya hai

burā kyā hai baratnā purānī rasmoñ

kabhī sharāb piinā bhī kyā halāl na thā

bura hi kya hai baratna purani rasmon ka

kabhi sharab ka pina bhi kya halal na tha

gayā jo haath se vo vaqt phir nahīñ aatā

kahāñ umiid ki phir din phireñ hamāre ab

gaya jo hath se wo waqt phir nahin aata

kahan umid ki phir din phiren hamare ab

yaad aa.iiñ us ko dekh ke apnī musībateñ

ro.e ham aaj ḳhuub lipaT kar raqīb se

yaad aain us ko dekh ke apni musibaten

roe hum aaj KHub lipaT kar raqib se

āshiq be-kasī to aalam na pūchhiye

majnūñ pe kyā guzar ga.ī sahrā gavāh hai

aashiq ki be-kasi ka to aalam na puchhiye

majnun pe kya guzar gai sahra gawah hai

aḳhīr vaqt hai kis muñh se jā.ūñ masjid ko

tamām umr to guzrī sharāb-ḳhāne meñ

aKHir waqt hai kis munh se jaun masjid ko

tamam umr to guzri sharab-KHane mein

sach hai is ek parde meñ chhupte haiñ laakh aib

ya.anī janāb-e-shaiḳh dāḌhī darāz hai

sach hai is ek parde mein chhupte hain lakh aib

yani janab-e-shaiKH ki daDhi daraaz hai

aap se na jab rahā matlab

phir raqīboñ se mujh ko kyā matlab

aap hi se na jab raha matlab

phir raqibon se mujh ko kya matlab

zāhid ko raT lagī hai sharāb-e-tuhūr

aayā hai mai-kade meñ to sūjhī hai duur

zahid ko raT lagi hai sharab-e-tuhur ki

aaya hai mai-kade mein to sujhi hai dur ki

qaid meñ itnā zamāna ho gayā

ab qafas bhī āshiyāna ho gayā

having been in prison all these years

to me this cage a haven now appears

qaid mein itna zamana ho gaya

ab qafas bhi aashiyana ho gaya

having been in prison all these years

to me this cage a haven now appears

shab-e-visāl lagāyā jo un ko siine se

to hañs ke bole alag baiThiye qarīne se

shab-e-visal lagaya jo un ko sine se

to hans ke bole alag baiThiye qarine se

kāfir-e-ishq ko kyā dair-o-haram se matlab

jis taraf hai udhar hameñ sajda karnā

kafir-e-ishq ko kya dair-o-haram se matlab

jis taraf tu hai udhar hi hamein sajda karna

jab na thā zabt to kyuuñ aa.e ayādat ke liye

tum ne kaahe ko mirā hāl-e-pareshāñ dekhā

jab na tha zabt to kyun aae ayaadat ke liye

tum ne kahe ko mera haal-e-pareshan dekha

is ko samjho na ḳhatt-e-nafs 'hafīz'

aur kuchh hai shā.erī se ġharaz

is ko samjho na KHatt-e-nafs 'hafiz'

aur hi kuchh hai shaeri se gharaz

un yaktā.ī da.avā miT gayā

aa.ine ne dūsrā paidā kiyā

un ki yaktai ka dawa miT gaya

aaine ne dusra paida kiya

haal merā bhī jā-e-ibrat hai

ab sifārish raqīb karte haiñ

haal mera bhi ja-e-ibrat hai

ab sifarish raqib karte hain

zāhid sharāb-e-nāb ho bāda-e-tuhūr

piine par jab aa.e harām o halāl kyā

zahid sharab-e-nab ho ya baada-e-tuhur

pine hi par jab aae haram o halal kya

pahuñche us ko salām merā

bhūle se na le jo naam merā

pahunche us ko salam mera

bhule se na le jo nam mera

jab milā koī hasīñ jaan par aafat aa.ī

sau jagah ahd-e-javānī meñ tabī.at aa.ī

jab mila koi hasin jaan par aafat aai

sau jagah ahd-e-jawani mein tabiat aai

lo do ghūñT ki saaqī rahe baat 'hafīz'

saaf inkār se ḳhātir-shikanī hotī hai

pi lo do ghunT ki saqi ki rahe baat 'hafiz'

saf inkar se KHatir-shikani hoti hai

parī thī koī chhalāvā thī javānī thī

kahāñ ye ho ga.ī champat jhalak dikhā ke mujhe

pari thi koi chhalawa thi ya jawani thi

kahan ye ho gai champat jhalak dikha ke mujhe

the chor mai-kade ke masjid ke rahne vaale

mai se bharā huā hai jo zarf hai vazū

the chor mai-kade ke masjid ke rahne wale

mai se bhara hua hai jo zarf hai wazu ka

un ye zid ki mire ghar meñ na aa.e koī

apnī haT ki mujhe ḳhud bulā.e koī

un ki ye zid ki mere ghar mein na aae koi

apni hi haT ki mujhe KHud hi bulae koi

qasam nibāh khaa.ī thī umr bhar ke liye

abhī se aañkh churāte ho ik nazar ke liye

qasam nibah ki khai thi umr bhar ke liye

abhi se aankh churaate ho ek nazar ke liye

jaao bhī jigar kyā hai jo bedād karoge

naale mire sun loge to fariyād karoge

jao bhi jigar kya hai jo bedad karoge

nale mere sun loge to fariyaad karoge

luT gayā vo tire kūche meñ dharā jis ne qadam

is tarah bhī kahīñ rāhzanī hotī hai

luT gaya wo tere kuche mein dhara jis ne qadam

is tarah ki bhi kahin rahzani hoti hai

kabhī masjid meñ jo vaa.iz bayāñ suntā huuñ

yaad aatī hai mujhe pīr-e-ḳharābāt baat

kabhi masjid mein jo waiz ka bayan sunta hun

yaad aati hai mujhe pir-e-KHarabaat ki baat

ham na uThte haiñ na vo dete haiñ

haath meñ paan hai kyā mushkil hai

hum na uThte hain na wo dete hain

hath mein pan hai kya mushkil hai

o aañkh badal ke jaane vaale

kuchh dhyān kisī ājizī

o aankh badal ke jaane wale

kuchh dhyan kisi ki aajizi ka

vo manā.egā jis se rūThe ho

ham ko minnat se ājizī se ġharaz

wo manaega jis se ruThe ho

hum ko minnat se aajizi se gharaz

jo ka.abe se nikle jagah dair meñ

mile in butoñ ko makāñ kaise kaise

jo kabe se nikle jagah dair mein ki

mile in buton ko makan kaise kaise

jo dīvānoñ ne paimā.ish hai maidān-e-qayāmat

faqat do gaz zamīñ Thahrī vo mere dasht-e-vahshat

jo diwanon ne paimaish ki hai maidan-e-qayamat ki

faqat do gaz zamin Thahri wo mere dasht-e-wahshat ki

mire but-ḳhāne se ho kar chalā ka.abe ko zāhid

ba-zāhir farq hai bātin meñ donoñ ek raste haiñ

mere but-KHane se ho kar chala ja kabe ko zahid

ba-zahir farq hai baatin mein donon ek raste hain

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now