Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab to nahin aasra kisi ka

Hafeez Jaunpuri

ab to nahin aasra kisi ka

Hafeez Jaunpuri

ab to nahīñ aasrā kisī

allāh hai apnī bekasī

o aañkh badal ke jaane vaale

kuchh dhyān kisī ājizī

bīmār ko dījiye tasallī

ye vaqt nahīñ jalī-kaTī

aapas meñ huī jo bad-gumānī

mushkil hai nibāh dostī

bālīñ se koī uThā ye kah kar

anjām ba-ḳhair ho kisī

ġham bhī qayām kuchh na Thahrā

ronā kyā roiye ḳhushī

pahuñchā diyā kisī galī tak

allāh-re zor be-ḳhudī

āḳhir ko sharāb rañg laa.ī

chhuptā nahīñ raaz mai-kashī

añdherā 'hafīz' ho rahā hai

bujhtā hai charāġh zindagī

ab to nahin aasra kisi ka

allah hai apni bekasi ka

o aankh badal ke jaane wale

kuchh dhyan kisi ki aajizi ka

bimar ko dijiye tasalli

ye waqt nahin jali-kaTi ka

aapas mein hui jo bad-gumani

mushkil hai nibah dosti ka

baalin se koi uTha ye kah kar

anjam ba-KHair ho kisi ka

gham ka bhi qayam kuchh na Thahra

rona kya roiye KHushi ka

pahuncha hi diya kisi gali tak

allah-re zor be-KHudi ka

aaKHir ko sharab rang lai

chhupta nahin raaz mai-kashi ka

andhera 'hafiz' ho raha hai

bujhta hai charagh zindagi ka

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now