Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Sahil

Words acquire different connotations

in poetry. Riverbank is one such word which carries many implications. Apart from being an image, it is also a metaphor and a symbol. Urdu poets have used the physical riverbank to express many conditions relating to meeting, parting, longing, suffering et. al. Here is a sampler that brings you a variety of ideas associated with riverbank.

safar meñ koī kisī ke liye Thahartā nahīñ

na muḌ ke dekhā kabhī sāhiloñ ko dariyā ne

safar mein koi kisi ke liye Thaharta nahin

na muD ke dekha kabhi sahilon ko dariya ne

Farigh Bukhari

agar maujeñ Dubo detīñ to kuchh taskīn ho jaatī

kināroñ ne Duboyā hai mujhe is baat ġham hai

agar maujen Dubo detin to kuchh taskin ho jati

kinaron ne Duboya hai mujhe is baat ka gham hai

Divakar Rahi

dariyā ke talātum se to bach saktī hai kashtī

kashtī meñ talātum ho to sāhil na milegā

from the storms of the seas the ship might well survive

but if the storm is in the ship, no shore can then arrive

dariya ke talatum se to bach sakti hai kashti

kashti mein talatum ho to sahil na milega

from the storms of the seas the ship might well survive

but if the storm is in the ship, no shore can then arrive

Malikzaada Manzoor Ahmad

nazroñ se nāptā hai samundar vus.ateñ

sāhil pe ik shaḳhs akelā khaḌā huā

nazron se napta hai samundar ki wusaten

sahil pe ek shaKHs akela khaDa hua

Mohammad Alvi

aatā hai jo tūfāñ aane de kashtī ḳhudā ḳhud hāfiz hai

mumkin hai ki uThtī lahroñ meñ bahtā huā sāhil aa jaa.e

aata hai jo tufan aane de kashti ka KHuda KHud hafiz hai

mumkin hai ki uThti lahron mein bahta hua sahil aa jae

Behzad Lakhnavi

us nā-ḳhudā ke zulm o sitam haa.e kyā karūñ

kashtī mirī Duboī hai sāhil ke ās-pās

us na-KHuda ke zulm o sitam hae kya karun

kashti meri Duboi hai sahil ke aas-pas

Hasrat Mohani

musāfir apnī manzil par pahuñch kar chain paate haiñ

vo maujeñ sar paTaktī haiñ jinheñ sāhil nahīñ miltā

musafir apni manzil par pahunch kar chain pate hain

wo maujen sar paTakti hain jinhen sahil nahin milta

Makhmoor Dehlvi

sāhil pe log yūñhī khaḌe dekhte rahe

dariyā meñ ham jo utre to dariyā utar gayā

sahil pe log yunhi khaDe dekhte rahe

dariya mein hum jo utre to dariya utar gaya

Abdullah Javed

kashtiyāñ Duub rahī haiñ koī sāhil laao

apnī āñkheñ mirī āñkhoñ ke muqābil laao

kashtiyan Dub rahi hain koi sahil lao

apni aankhen meri aankhon ke muqabil lao

Jamuna Parsad Rahi

sāhil tamām ashk-e-nadāmat se aT gayā

dariyā se koī shaḳhs to pyāsā palaT gayā

sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya

dariya se koi shaKHs to pyasa palaT gaya

Shakeb Jalali

maiñ jis raftār se tūfāñ jānib baḌhtā jaatā huuñ

usī raftār se nazdīk sāhil hotā jaatā hai

main jis raftar se tufan ki jaanib baDhta jata hun

usi raftar se nazdik sahil hota jata hai

Ehsan Danish

dhāre se kabhī kashtī na haTī aur sīdhī ghaaT par aa pahuñchī

sab bahte hue dariyāoñ ke kyā do kināre hote haiñ

dhaare se kabhi kashti na haTi aur sidhi ghaT par aa pahunchi

sab bahte hue dariyaon ke kya do hi kinare hote hain

Arzoo Lakhnavi

safīna ho rahā hai ġharq-e-tūfāñ

nigāhoñ se kināre rahe haiñ

safina ho raha hai gharq-e-tufan

nigahon se kinare ja rahe hain

Afzal Hazarvi

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now