Sher on Qasid
A messenger is a stereotypical
character in classical poetry. He does not only bring messages, he also helps develop lasting bonds. A lover lying in separation considers the messenger luckier than himself who can meet her and speak to her. Sometimes, even the messenger has to bear the onslaughts of love and has to pay for someone else’s love.
kyā jaane kyā likhā thā use iztirāb meñ
qāsid kī laash aa.ī hai ḳhat ke javāb meñ
kya jaane kya likha tha use iztirab mein
qasid ki lash aai hai KHat ke jawab mein
qāsid ke aate aate ḳhat ik aur likh rakhūñ
maiñ jāntā huuñ jo vo likheñge javāb meñ
ere the messenger returns, another letter I
should prepare,I am aware, what she will reply
qasid ke aate aate KHat ek aur likh rakhun
main jaanta hun jo wo likhenge jawab mein
ere the messenger returns, another letter I
should prepare,I am aware, what she will reply
koī nām-o-nishāñ pūchhe to ai qāsid batā denā
taḳhallus 'dāġh' hai vo āshiqoñ ke dil meñ rahte haiñ
koi nam-o-nishan puchhe to ai qasid bata dena
taKHallus 'dagh' hai wo aashiqon ke dil mein rahte hain
ek muddat se na qāsid hai na ḳhat hai na payām
apne va.ade ko to kar yaad mujhe yaad na kar
ek muddat se na qasid hai na KHat hai na payam
apne wade ko to kar yaad mujhe yaad na kar
nāma-bar tū hī batā tū ne to dekhe hoñge
kaise hote haiñ vo ḳhat jin ke javāb aate haiñ
o messenger do tell me you surely have espied
what sort of messages are those that get replied
nama-bar tu hi bata tu ne to dekhe honge
kaise hote hain wo KHat jin ke jawab aate hain
o messenger do tell me you surely have espied
what sort of messages are those that get replied
-
Tag : Khat
qāsid payām-e-shauq ko denā bahut na tuul
kahnā faqat ye un se ki āñkheñ taras ga.iiñ
qasid payam-e-shauq ko dena bahut na tul
kahna faqat ye un se ki aankhen taras gain
mirā ḳhat us ne paḌhā paḌh ke nāma-bar se kahā
yahī javāb hai is kā koī javāb nahīñ
mera KHat us ne paDha paDh ke nama-bar se kaha
yahi jawab hai is ka koi jawab nahin
aatī hai baat baat mujhe baar baar yaad
kahtā huuñ dauḌ dauḌ ke qāsid se raah meñ
aati hai baat baat mujhe bar bar yaad
kahta hun dauD dauD ke qasid se rah mein
ashkoñ ke nishāñ parcha-e-sāda pe haiñ qāsid
ab kuchh na bayāñ kar ye ibārat hī bahut hai
ashkon ke nishan parcha-e-sada pe hain qasid
ab kuchh na bayan kar ye ibarat hi bahut hai
tū dekh rahā hai jo mirā haal hai qāsid
mujh ko yahī kahnā hai ki maiñ kuchh nahīñ kahtā
tu dekh raha hai jo mera haal hai qasid
mujh ko yahi kahna hai ki main kuchh nahin kahta
mazmūn sūjhte haiñ hazāroñ na.e na.e
qāsid ye ḳhat nahīñ mire ġham kī kitāb hai
mazmun sujhte hain hazaron nae nae
qasid ye KHat nahin mere gham ki kitab hai
qāsid nahīñ ye kaam tirā apnī raah le
us kā payām dil ke sivā kaun lā sake
qasid nahin ye kaam tera apni rah le
us ka payam dil ke siwa kaun la sake
-
Tag : Dil
mazā jab thā ki mere muñh se sunte dāstāñ merī
kahāñ se lā.egā qāsid dahan merā zabāñ merī
maza jab tha ki mere munh se sunte dastan meri
kahan se laega qasid dahan mera zaban meri
ḳhat dekh kar mirā mire qāsid se yuuñ kahā
kyā gul nahīñ huā vo charāġh-e-sahar hanūz
KHat dekh kar mera mere qasid se yun kaha
kya gul nahin hua wo charagh-e-sahar hanuz
aah qāsid to ab talak na phirā
dil dhaḌaktā hai kyā huā hogā
aah qasid to ab talak na phira
dil dhaDakta hai kya hua hoga
-
Tags : Bechainiand 1 more
vo aur va.ada vasl kā qāsid nahīñ nahīñ
sach sach batā ye lafz unhī kī zabāñ ke haiñ
wo aur wada wasl ka qasid nahin nahin
sach sach bata ye lafz unhi ki zaban ke hain
phaaḌ kar ḳhat us ne qāsid se kahā
koī paiġhām-e-zabānī aur hai
phaD kar KHat us ne qasid se kaha
koi paigham-e-zabani aur hai
kisī ko bhej ke ḳhat haa.e ye kaisā azaab aayā
ki har ik pūchhtā hai nāma-bar aayā javāb aayā
kisi ko bhej ke KHat hae ye kaisa azab aaya
ki har ek puchhta hai nama-bar aaya jawab aaya
zabāñ qāsid kī 'muztar' kaaT lī jab un ko ḳhat bhejā
ki āḳhir aadmī hai tazkira shāyad kahīñ kar de
zaban qasid ki 'muztar' kaT li jab un ko KHat bheja
ki aaKHir aadmi hai tazkira shayad kahin kar de
aayā na phir ke ek bhī kūche se yaar ke
qāsid gayā nasīm ga.ī nāma-bar gayā
aaya na phir ke ek bhi kuche se yar ke
qasid gaya nasim gai nama-bar gaya
kyā bhuul ga.e haiñ vo mujhe pūchhnā qāsid
naama koī muddat se mire kaam na aayā
kya bhul gae hain wo mujhe puchhna qasid
nama koi muddat se mere kaam na aaya
ḳhat-e-shauq ko paḌh ke qāsid se bole
ye hai kaun dīvāna ḳhat likhne vaalā
KHat-e-shauq ko paDh ke qasid se bole
ye hai kaun diwana KHat likhne wala
-
Tag : Khat
vo kab sunñe lage qāsid magar yuuñ hī sunā denā
milā kar dūsroñ kī dāstāñ meñ dāstāñ merī
wo kab sunne lage qasid magar yun hi suna dena
mila kar dusron ki dastan mein dastan meri
yā us se javāb-e-ḳhat laanā yā qāsid itnā kah denā
bachne kā nahīñ bīmār tirā irshād agar kuchh bhī na huā
ya us se jawab-e-KHat lana ya qasid itna kah dena
bachne ka nahin bimar tera irshad agar kuchh bhi na hua
-
Tag : Khat
phirtā hai mere dil meñ koī harf-e-mudda.ā
qāsid se kah do aur na jaa.e zarā sī der
phirta hai mere dil mein koi harf-e-muddaa
qasid se kah do aur na jae zara si der
qayāmat hai ye kah kar us ne lauTāyā hai qāsid ko
ki un kā to har ik ḳhat āḳhirī paiġhām hotā hai
qayamat hai ye kah kar us ne lauTaya hai qasid ko
ki un ka to har ek KHat aaKHiri paigham hota hai
jab us ne mirā ḳhat na chhuā haath se apne
qāsid ne bhī chipkā diyā dīvār se kāġhaz
jab us ne mera KHat na chhua hath se apne
qasid ne bhi chipka diya diwar se kaghaz
patā miltā nahīñ us be-nishāñ kā
liye phirtā hai qāsid jā-ba-jā ḳhat
pata milta nahin us be-nishan ka
liye phirta hai qasid ja-ba-ja KHat
-
Tag : Khat
ḳhat ke purze aa.e haiñ qāsid kā sar tasvīr-e-ġhair
ye hai bhejā us sitamgar ne mire ḳhat kā javāb
KHat ke purze aae hain qasid ka sar taswir-e-ghair
ye hai bheja us sitamgar ne mere KHat ka jawab
kahnā qāsid ki us ke jiine kā
va.ada-e-vasl par madār hai aaj
kahna qasid ki us ke jine ka
wada-e-wasl par madar hai aaj
mirā ḳhat paḌh liyā us ne magar ye to batā qāsid
nazar aa.ī jabīñ par buuñd bhī koī pasīne kī
mera KHat paDh liya us ne magar ye to bata qasid
nazar aai jabin par bund bhi koi pasine ki
dekh qāsid ko mire yaar ne pūchhā 'tābāñ'
kyā mire hijr meñ jiitā hai vo ġhamnāk hanūz
dekh qasid ko mere yar ne puchha 'taban'
kya mere hijr mein jita hai wo ghamnak hanuz
qāsid jo gayā merā le naama to zālim ne
naame ke kiye purze qāsid ko biThā rakkhā
qasid jo gaya mera le nama to zalim ne
name ke kiye purze qasid ko biTha rakkha
ḳhat kā ye javāb aayā ki qāsid gayā jī se
sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaḌ
KHat ka ye jawab aaya ki qasid gaya ji se
sar ek taraf loTe hai aur ek taraf dhaD
-
Tag : Khat
kyā mire haal pe sach-much unheñ ġham thā qāsid
tū ne dekhā thā sitāra sar-e-mizhgāñ koī
kya mere haal pe sach-much unhen gham tha qasid
tu ne dekha tha sitara sar-e-mizhgan koi
javāb-e-nāma yā detā nahīñ yā qaid kartā hai
jo bhejā ham ne qāsid phir na paa.ī kuchh ḳhabar us kī
jawab-e-nama ya deta nahin ya qaid karta hai
jo bheja hum ne qasid phir na pai kuchh KHabar us ki
nāma-bar nā-umīd aatā hai
haa.e kyā sust paañv paḌte haiñ
nama-bar na-umid aata hai
hae kya sust panw paDte hain