Saail Dehlvi
Ghazal 13
Sher-o-Shayari 14
hamesha ḳhūn-e-dil royā huuñ maiñ lekin salīqe se
na qatra āstīñ par hai na dhabbā jaib o dāman par
hamesha KHun-e-dil roya hun main lekin saliqe se
na qatra aastin par hai na dhabba jaib o daman par
- Add to favorites
-
Share this
haiñ e'tibār se kitne gire hue dekhā
isī zamāne meñ qisse isī zamāne ke
hain e'tibar se kitne gire hue dekha
isi zamane mein qisse isi zamane ke
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ye masjid hai ye mai-ḳhāna ta.ajjub is par aatā hai
janāb-e-shaiḳh kā naqsh-e-qadam yuuñ bhī hai aur yuuñ bhī
ye masjid hai ye mai-KHana tajjub is par aata hai
janab-e-shaiKH ka naqsh-e-qadam yun bhi hai aur yun bhi
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
ma.alūm nahīñ kis se kahānī mirī sun lī
bhātā hī nahīñ ab unheñ afsāna kisī kā
malum nahin kis se kahani meri sun li
bhata hi nahin ab unhen afsana kisi ka
- Add to favorites
-
Share this
mohtasib tasbīh ke dānoñ pe ye gintā rahā
kin ne pī kin ne na pī kin kin ke aage jaam thā
mohtasib tasbih ke danon pe ye ginta raha
kin ne pi kin ne na pi kin kin ke aage jam tha
- Add to favorites
-
Share this