us se kahnā ki dhuāñ dekhne laa.eq hogā
aag pahne hue jā.uñgā maiñ paanī kī taraf
us se kahna ki dhuan dekhne laeq hoga
aag pahne hue jaunga main pani ki taraf
-
Tag : Water
aql har baar dikhātī thī jale haath apne
dil ne har baar kahā aag parā.ī le le
aql har bar dikhati thi jale hath apne
dil ne har bar kaha aag parai le le
-
Tag : Dil
ubalte vaqt paanī sochtā hogā zarūr
agar bartan na hotā to batātā aag ko
ubalte waqt pani sochta hoga zarur
agar bartan na hota to batata aag ko
auroñ kī aag kyā tujhe kundan banā.egī
apnī bhī aag meñ kabhī chup-chāp jal ke dekh
auron ki aag kya tujhe kundan banaegi
apni bhi aag mein kabhi chup-chap jal ke dekh
-
Tag : Ehsaas
apne jalne kā hamesha se tamāshā.ī huuñ
aag ye kis ne lagā.ī mujhe ma.alūm nahīñ
apne jalne ka hamesha se tamashai hun
aag ye kis ne lagai mujhe malum nahin
mere hone se na honā hai mirā
aag jalne se dhuāñ ābād hai
mere hone se na hona hai mera
aag jalne se dhuan aabaad hai
sard rātoñ kā taqāza thā badan jal jaa.e
phir vo ik aag jo siine se lagā.ī maiñ ne
sard raaton ka taqaza tha badan jal jae
phir wo ek aag jo sine se lagai main ne