Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ke hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh

Abida Karamat

ab ke hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh

Abida Karamat

MORE BYAbida Karamat

    ab ke hisār-e-zāt se bāhar nikal ke dekh

    shahr-e-gulāb meñ kabhī kāñToñ pe chal ke dekh

    jo bhī hai jaisā us ko usī tarz se parakh

    us ko badal ke dekh na ḳhud ko badal ke dekh

    auroñ aag kyā tujhe kundan banā.egī

    apnī bhī aag meñ kabhī chup-chāp jal ke dekh

    jo tere rāste meñ haiñ patthar paḌe hue

    gir ke un pe dekh liyā ab sambhal ke dekh

    chehra hamesha kyoñ pas-e-ġhāza chhupā rahe

    is pe apne ḳhuun bhī rañg mal ke dekh

    ab ke hisar-e-zat se bahar nikal ke dekh

    shahr-e-gulab mein kabhi kanTon pe chal ke dekh

    jo bhi hai jaisa us ko usi tarz se parakh

    us ko badal ke dekh na KHud ko badal ke dekh

    auron ki aag kya tujhe kundan banaegi

    apni bhi aag mein kabhi chup-chap jal ke dekh

    jo tere raste mein hain patthar paDe hue

    gir ke tu un pe dekh liya ab sambhal ke dekh

    chehra hamesha kyon pas-e-ghaza chhupa rahe

    is pe tu apne KHun ka bhi rang mal ke dekh

    Source :
    • Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 524)
    • Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now