ujāloñ meñ chhupī thī ek laḌkī
falak kā rañg-roġhan kar ga.ī hai
ujalon mein chhupi thi ek laDki
falak ka rang-roghan kar gai hai
-
Tag : Rang
mat sahl hameñ jaano phirtā hai falak barsoñ
tab ḳhaak ke parde se insān nikalte haiñ
mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson
tab KHak ke parde se insan nikalte hain
-
Tags : Famous shayariand 1 more
daulat kā falak toḌ ke aalam kī jabīñ par
mazdūr kī qismat ke sitāre nikal aa.e
daulat ka falak toD ke aalam ki jabin par
mazdur ki qismat ke sitare nikal aae
-
Tag : Mazdoor
vo chaar chāñd falak ko lagā chalā huuñ 'qamar'
ki mere ba.ad sitāre kaheñge afsāne
wo chaar chand falak ko laga chala hun 'qamar'
ki mere baad sitare kahenge afsane
falak par uḌte jaate bādaloñ ko dekhtā huuñ maiñ
havā kahtī hai mujh se ye tamāshā kaisā lagtā hai
falak par uDte jate baadalon ko dekhta hun main
hawa kahti hai mujh se ye tamasha kaisa lagta hai
-
Tags : Abrand 2 more
gungunātī huī aatī haiñ falak se būñdeñ
koī badlī tirī pāzeb se Takrā.ī hai
gungunati hui aati hain falak se bunden
koi badli teri pazeb se Takrai hai
falak kī ḳhabar kab hai nā-shā.iroñ ko
yūñhī ghar meñ baiThe havā bāñdhte haiñ
falak ki KHabar kab hai na-shairon ko
yunhi ghar mein baiThe hawa bandhte hain
aañsū falak kī aañkh se Tapke tamām raat
aur sub.h tak zamīn kā āñchal bhigo ga.e
aansu falak ki aankh se Tapke tamam raat
aur subh tak zamin ka aanchal bhigo gae