Sher on Bijli
Lightening is a strong
manifestation of nature. In poetry, it is used as a metaphor for heart-shaking sound, burning the birds’ abodes, and rendering them homeless. This applies to the beloved’s behavior as well who ravages the hapless lover. Lightening, used in a variety of contexts, has emerged as an interesting concept through classical Urdu poetry. Here are some verses to show that.
bijlī giregī sehn-e-chaman meñ kahāñ kahāñ
kis shāḳh-e-gulistāñ pe mirā āshiyāñ nahīñ
bijli giregi sehn-e-chaman mein kahan kahan
kis shaKH-e-gulistan pe mera aashiyan nahin
qafas kī tīliyoñ meñ jaane kyā tarkīb rakkhī hai
ki har bijlī qarīb-e-āshiyāñ ma.alūm hotī hai
qafas ki tiliyon mein jaane kya tarkib rakkhi hai
ki har bijli qarib-e-ashiyan malum hoti hai
bijlī chamkī to abr royā
yaad aa ga.ī kyā hañsī kisī kī
bijli chamki to abr roya
yaad aa gai kya hansi kisi ki
-
Tag : Yaad
ab bijliyoñ kā ḳhauf bhī dil se nikal gayā
ḳhud merā āshiyāñ mirī aahoñ se jal gayā
the dread of lightning, in my heart, no longer survives,
my nest is now reduced to ashes, by my burning sighs
ab bijliyon ka KHauf bhi dil se nikal gaya
KHud mera aashiyan meri aahon se jal gaya
the dread of lightning, in my heart, no longer survives,
my nest is now reduced to ashes, by my burning sighs
Dartā huuñ āsmān se bijlī na gir paḌe
sayyād kī nigāh sū-e-āshiyāñ nahīñ
Darta hun aasman se bijli na gir paDe
sayyaad ki nigah su-e-ashiyan nahin
uTThā jo abr dil kī umañgeñ chamak uThīñ
lahrā.īñ bijliyāñ to maiñ lahrā ke pī gayā
uTTha jo abr dil ki umangen chamak uThin
lahrain bijliyan to main lahra ke pi gaya
-
Tag : Abr
lahū se maiñ ne likhā thā jo kuchh dīvār-e-zindāñ par
vo bijlī ban ke chamkā dāman-e-sub.h-e-gulistāñ par
lahu se main ne likha tha jo kuchh diwar-e-zindan par
wo bijli ban ke chamka daman-e-subh-e-gulistan par
fareb-e-raushnī meñ aane vaalo maiñ na kahtā thā
ki bijlī āshiyāne kī nigahbāñ ho nahīñ saktī
fareb-e-raushni mein aane walo main na kahta tha
ki bijli aashiyane ki nigahban ho nahin sakti
barq ne merā nasheman na jalāyā ho kahīñ
sahn-e-gulshan meñ ujālā hai ḳhudā ḳhair kare
barq ne mera nasheman na jalaya ho kahin
sahn-e-gulshan mein ujala hai KHuda KHair kare
mumkin nahīñ chaman meñ donoñ kī zid ho puurī
yā bijliyāñ raheñgī yā āshiyāñ rahegā
mumkin nahin chaman mein donon ki zid ho puri
ya bijliyan rahengi ya aashiyan rahega
taḌap jaatā huuñ jab bijlī chamaktī dekh letā huuñ
ki is se miltā-jultā sā kisī kā muskurānā hai
taDap jata hun jab bijli chamakti dekh leta hun
ki is se milta-julta sa kisi ka muskurana hai
idhar falak ko hai zid bijliyāñ girāne kī
udhar hameñ bhī hai dhun āshiyāñ banāne kī
idhar falak ko hai zid bijliyan girane ki
udhar hamein bhi hai dhun aashiyan banane ki
ye abr hai yā fīl-e-siyah-mast hai saaqī
bijlī ke jo hai paañv meñ zanjīr havā par
ye abr hai ya fil-e-siyah-mast hai saqi
bijli ke jo hai panw mein zanjir hawa par
zabt-e-nāla se aaj kaam liyā
girtī bijlī ko maiñ ne thaam liyā
zabt-e-nala se aaj kaam liya
girti bijli ko main ne tham liya