Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Tribute

Noble people don’t ever

die. They may get a release from their body but their memories stay back. Here are some verses written to pay respect to the departed ones who are remembered for their good deeds. These verses show reverence for the dead and also underscore the significance of virtue which qualifies a human being to be a human being.

ye mujhe chain kyuuñ nahīñ paḌtā

ek shaḳhs thā jahān meñ kyā

ye mujhe chain kyun nahin paDta

ek hi shaKHs tha jahan mein kya

Jaun Eliya

hazāroñ saal nargis apnī be-nūrī pe rotī hai

baḌī mushkil se hotā hai chaman meñ dīda-var paidā

hazaron sal nargis apni be-nuri pe roti hai

baDi mushkil se hota hai chaman mein dida-war paida

Allama Iqbal

rahne ko sadā dahr meñ aatā nahīñ koī

tum jaise ga.e aise bhī jaatā nahīñ koī

rahne ko sada dahr mein aata nahin koi

tum jaise gae aise bhi jata nahin koi

Kaifi Azmi

bichhḌā kuchh is adā se ki rut badal ga.ī

ik shaḳhs saare shahr ko vīrān kar gayā

bichhDa kuchh is ada se ki rut hi badal gai

ek shaKHs sare shahr ko viran kar gaya

Khalid Sharif

kahānī ḳhatm huī aur aisī ḳhatm huī

ki log rone lage tāliyāñ bajāte hue

kahani KHatm hui aur aisi KHatm hui

ki log rone lage taliyan bajate hue

Rehman Faris

mat sahl hameñ jaano phirtā hai falak barsoñ

tab ḳhaak ke parde se insān nikalte haiñ

mat sahl hamein jaano phirta hai falak barson

tab KHak ke parde se insan nikalte hain

Meer Taqi Meer

terī mahfil se jo niklā to ye manzar dekhā

mujhe logoñ ne bulāyā mujhe chhū kar dekhā

teri mahfil se jo nikla to ye manzar dekha

mujhe logon ne bulaya mujhe chhu kar dekha

Rahat Indori

ek sūraj thā ki tāroñ ke gharāne se uThā

aañkh hairān hai kyā shaḳhs zamāne se uThā

ek suraj tha ki taron ke gharane se uTha

aankh hairan hai kya shaKHs zamane se uTha

Parveen Shakir

log achchhe haiñ bahut dil meñ utar jaate haiñ

ik burā.ī hai to bas ye hai ki mar jaate haiñ

log achchhe hain bahut dil mein utar jate hain

ek burai hai to bas ye hai ki mar jate hain

Rais Farogh

jin se mil kar zindagī se ishq ho jaa.e vo log

aap ne shāyad na dekhe hoñ magar aise bhī haiñ

jin se mil kar zindagi se ishq ho jae wo log

aap ne shayad na dekhe hon magar aise bhi hain

Suroor Barabankvi

jaane vaale kabhī nahīñ aate

jaane vāloñ yaad aatī hai

jaane wale kabhi nahin aate

jaane walon ki yaad aati hai

Sikandar Ali Wajd

maut us hai kare jis zamāna afsos

yuuñ to duniyā meñ sabhī aa.e haiñ marne ke liye

maut us ki hai kare jis ka zamana afsos

yun to duniya mein sabhi aae hain marne ke liye

Mahmood Rampuri

uTh ga.ī haiñ sāmne se kaisī kaisī sūrateñ

roiye kis ke liye kis kis mātam kījiye

uTh gai hain samne se kaisi kaisi suraten

roiye kis ke liye kis kis ka matam kijiye

Haidar Ali Aatish

ab nahīñ lauT ke aane vaalā

ghar khulā chhoḌ ke jaane vaalā

ab nahin lauT ke aane wala

ghar khula chhoD ke jaane wala

Akhtar Nazmi

ek raushan dimāġh thā na rahā

shahar meñ ik charāġh thā na rahā

ek raushan dimagh tha na raha

shahar mein ek charagh tha na raha

Altaf Hussain Hali

kal us key aañkh ne kyā zinda guftugū key thī

gumān tak na huā vo bichhaḌne vaalā hai

kal us key aankh ne kya zinda guftugu key thi

guman tak na hua wo bichhaDne wala hai

Ummeed Fazli

sab kahāñ kuchh lāla-o-gul meñ numāyāñ ho ga.iiñ

ḳhaak meñ kyā sūrateñ hoñgī ki pinhāñ ho ga.iiñ

sab kahan kuchh lala-o-gul mein numayan ho gain

KHak mein kya suraten hongi ki pinhan ho gain

Mirza Ghalib

vo ab vahāñ hai jahāñ rāste nahīñ jaate

maiñ jis ke saath yahāñ pichhle saal aayā thā

wo ab wahan hai jahan raste nahin jate

main jis ke sath yahan pichhle sal aaya tha

Bashir Badr

jinheñ ab gardish-e-aflāk paidā kar nahīñ saktī

kuchh aisī hastiyāñ bhī dafn haiñ gor-e-ġharībāñ meñ

jinhen ab gardish-e-aflak paida kar nahin sakti

kuchh aisi hastiyan bhi dafn hain gor-e-ghariban mein

Makhmoor Dehlvi

tumhārī maut ne maarā hai jīte-jī ham ko

hamārī jaan bhī goyā tumhārī jaan meñ thī

tumhaari maut ne mara hai jite-ji hum ko

hamari jaan bhi goya tumhaari jaan mein thi

Shakeel Azmi

ve sūrateñ ilāhī kis mulk bastiyāñ haiñ

ab dekhne ko jin ke āñkheñ tarastiyāñ haiñ

we suraten ilahi kis mulk bastiyan hain

ab dekhne ko jin ke aankhen tarastiyan hain

Mohammad Rafi Sauda

ye hijrateñ haiñ zamīn o zamāñ se aage

jo chukā hai use lauT kar nahīñ aanā

ye hijraten hain zamin o zaman se aage ki

jo ja chuka hai use lauT kar nahin aana

Aftab Iqbal Shamim

jhoñke nasīm-e-ḳhuld ke hone lage nisār

jannat ko is gulāb thā kab se intizār

jhonke nasim-e-KHuld ke hone lage nisar

jannat ko is gulab ka tha kab se intizar

Khalid Meenai
Speak Now