Sher on Fasad
Rioting among human
beings is an ugly reality. Poets have not put this reality aside; in fact they have commented on the ills of rioting in their own creative ways. Here is a sampler to help you see the ugliness of violence and appreciate how it damages us.
ye kaun aag lagāne pe hai yahāñ māmūr
ye kaun shahr ko maqtal banāne vaalā hai
ye kaun aag lagane pe hai yahan mamur
ye kaun shahr ko maqtal banane wala hai
chāroñ taraf haiñ shole ham-sā.e jal rahe haiñ
maiñ ghar meñ baiThā baiThā bas haath mal rahā huuñ
chaaron taraf hain shole ham-sae jal rahe hain
main ghar mein baiTha baiTha bas hath mal raha hun
jo dil ko hai ḳhabar kahīñ miltī nahīñ ḳhabar
har sub.h ik azaab hai aḳhbār dekhnā
jo dil ko hai KHabar kahin milti nahin KHabar
har subh ek azab hai aKHbar dekhna
-
Tag : aKHbaar
gharoñ meñ qaid haiñ bastī ke shorafā
saḌak par haiñ fasādī aur ġhunDe
gharon mein qaid hain basti ke shorafa
saDak par hain fasadi aur ghunDe
yahāñ ek bachche ke ḳhuun se jo likhā huā hai use paḌheñ
tirā kīrtan abhī paap hai abhī merā sajda harām hai
yahan ek bachche ke KHun se jo likha hua hai use paDhen
tera kirtan abhi pap hai abhi mera sajda haram hai
maiñ jaag jaag ke kis kis kā intizār karūñ
jo log ghar nahīñ pahuñche vo mar ga.e hoñge
main jag jag ke kis kis ka intizar karun
jo log ghar nahin pahunche wo mar gae honge
junūñ ko hosh kahāñ ehtimām-e-ġhārat kā
fasād jo bhī jahāñ meñ huā ḳhirad se huā
junun ko hosh kahan ehtimam-e-ghaarat ka
fasad jo bhi jahan mein hua KHirad se hua
jale makānoñ meñ bhuut baiThe baḌī matānat se sochte haiñ
ki jañgaloñ se nikal kar aane kī kyā zarūrat thī aadmī ko
jale makanon mein bhut baiThe baDi matanat se sochte hain
ki jangalon se nikal kar aane ki kya zarurat thi aadmi ko
is qadar maiñ ne sulagte hue ghar dekhe haiñ
ab to chubhne lage āñkhoñ meñ ujāle mujh ko
is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain
ab to chubhne lage aankhon mein ujale mujh ko
aaj kheleñge mire ḳhuun se holī sab log
kitnā rañgīn har ik shaḳhs kā dāmāñ hogā
aaj khelenge mere KHun se holi sab log
kitna rangin har ek shaKHs ka daman hoga
log TuuT jaate haiñ ek ghar banāne meñ
tum taras nahīñ khāte bastiyāñ jalāne meñ
log TuT jate hain ek ghar banane mein
tum taras nahin khate bastiyan jalane mein
jalā hai shahr to kyā kuchh na kuchh to hai mahfūz
kahīñ ġhubār kahīñ raushnī salāmat hai
jala hai shahr to kya kuchh na kuchh to hai mahfuz
kahin ghubar kahin raushni salamat hai
bārūd ke badle hāthoñ meñ aa jaa.e kitāb to achchhā ho
ai kaash hamārī āñkhoñ kā ikkīsvāñ ḳhvāb to achchhā ho
barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho
ai kash hamari aankhon ka ikkiswan KHwab to achchha ho
-
Tags : Khwaband 1 more
har ek shāḳh thī larzāñ fazā meñ chīḳh-o-pukār
havā ke haath meñ ik āb-dār ḳhanjar thā
har ek shaKH thi larzan faza mein chiKH-o-pukar
hawa ke hath mein ek aab-dar KHanjar tha
har ek kūcha hai sākit har ik saḌak vīrāñ
hamāre shahar meñ taqrīr kar gayā ye kaun
har ek kucha hai sakit har ek saDak viran
hamare shahar mein taqrir kar gaya ye kaun
tum abhī shahr meñ kyā na.e aa.e ho
ruk ga.e raah meñ hādsa dekh kar
tum abhi shahr mein kya nae aae ho
ruk gae rah mein hadsa dekh kar
aisī havā bahī ki hai chāroñ taraf fasād
juz sāya-e-ḳhudā kahīñ dār-ul-amāñ nahīñ
aisi hawa bahi ki hai chaaron taraf fasad
juz saya-e-KHuda kahin dar-ul-aman nahin
dekhoge to har moḌ pe mil jā.eñgī lāsheñ
DhūñDoge to is shahr meñ qātil na milegā
dekhoge to har moD pe mil jaengi lashen
DhunDoge to is shahr mein qatil na milega
dīvār-o-dar pe ḳhuun ke chhīñTe haiñ jā-ba-jā
bikhrā huā hai rañg-e-hinā tere shahar meñ
diwar-o-dar pe KHun ke chhinTe hain ja-ba-ja
bikhra hua hai rang-e-hina tere shahar mein