aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Kamil Bahzadi's Photo'

Kamil Bahzadi

1934 | Bhopal, India

Kamil Bahzadi

Ghazal 5

 

Sher-o-Shayari 6

ākāsh hasīn fazāoñ meñ kho gayā

maiñ is qadar uḌā ki ḳhalāoñ meñ kho gayā

aakash ki hasin fazaon mein kho gaya

main is qadar uDa ki KHalaon mein kho gaya

ta.alluq hai na ab tark-e-ta.alluq

ḳhudā jaane ye kaisī dushmanī hai

talluq hai na ab tark-e-talluq

KHuda jaane ye kaisi dushmani hai

is qadar maiñ ne sulagte hue ghar dekhe haiñ

ab to chubhne lage āñkhoñ meñ ujāle mujh ko

is qadar main ne sulagte hue ghar dekhe hain

ab to chubhne lage aankhon mein ujale mujh ko

kyā tire shahr ke insān haiñ patthar tarah

koī naġhma koī pāyal koī jhankār nahīñ

kya tere shahr ke insan hain patthar ki tarah

koi naghma koi payal koi jhankar nahin

log bhopal tārīf kiyā karte haiñ

is nagar meñ to tire ghar ke sivā kuchh bhī nahīñ

log bhopal ki tarif kiya karte hain

is nagar mein to tere ghar ke siwa kuchh bhi nahin

BOOKS 4

 

Image Shayari 1

 

Audios 5

aakaash kii hasiin fazaa.o.n me.n kho gayaa

ek bhaTke hu.e lashkar ke sivaa kuchh bhii nahii.n

saaya-e-zulf nahii.n shola-e-ruKHsaar nahii.n

Recitation

More Poets From "Bhopal"

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

GET YOUR PASS
Speak Now