Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Saud Usmani's Photo'

Saud Usmani

1958 | Karachi, Pakistan

Sher of Saud Usmani

2.7K
Favorite

SORT BY

hairat se taktā hai sahrā bārish ke nazrāne ko

kitnī duur se aa.ī hai ye ret se haath milāne ko

hairat se takta hai sahra barish ke nazrane ko

kitni dur se aai hai ye ret se hath milane ko

pakkā rasta kachchī saḌak aur phir pagDanDī

jaise koī chalte chalte thak jaatā hai

pakka rasta kachchi saDak aur phir pagDanDi

jaise koi chalte chalte thak jata hai

mujhe ye saare masīhā aziiz haiñ lekin

ye kah rahe haiñ ki maiñ tum se fāsla rakkhūñ

mujhe ye sare masiha aziz hain lekin

ye kah rahe hain ki main tum se fasla rakkhun

jaan hai to jahān hai dil hai to aarzū bhī hai

ishq bhī ho rahegā phir jaan abhī bachā.iye

jaan hai to jahan hai dil hai to aarzu bhi hai

ishq bhi ho rahega phir jaan abhi bachaiye

maiñ chāhtā huuñ use aur chāhne ke sivā

mire liye to koī aur rāstā bhī nahīñ

main chahta hun use aur chahne ke siwa

mere liye to koi aur rasta bhi nahin

sūraj ke ufuq hote haiñ manzil nahīñ hotī

so Dhaltā rahā jaltā rahā chaltā rahā maiñ

suraj ke ufuq hote hain manzil nahin hoti

so Dhalta raha jalta raha chalta raha main

ye jo maiñ itnī sahūlat se tujhe chāhtā huuñ

dost ik umr meñ miltī hai ye āsānī bhī

ye jo main itni sahulat se tujhe chahta hun

dost ek umr mein milti hai ye aasani bhi

har ek jism meñ maujūd hasht-pā tarah

vabā ḳhauf hai ḳhud bhī kisī vabā tarah

har ek jism mein maujud hasht-pa ki tarah

waba ka KHauf hai KHud bhi kisi waba ki tarah

ḳhvāhish hai ki ḳhud ko bhī kabhī duur se dekhūñ

manzar nazāra karūñ manzar se nikal kar

KHwahish hai ki KHud ko bhi kabhi dur se dekhun

manzar ka nazara karun manzar se nikal kar

tamām umr yahāñ kis intizār huā hai

tamām umr mirā kaun intizār karegā

tamam umr yahan kis ka intizar hua hai

tamam umr mera kaun intizar karega

terī shikast asl meñ merī shikast hai

mujh se ek baar bhī haarā to maiñ gayā

teri shikast asl mein meri shikast hai

tu mujh se ek bar bhi haara to main gaya

un se bhī merī dostī un se bhī ranjisheñ

siine meñ ek halqa-e-ahbāb aur hai

un se bhi meri dosti un se bhi ranjishen

sine mein ek halqa-e-ahbab aur hai

bahut dinoñ meñ mire ghar ḳhāmoshī TuuTī

ḳhud apne-āp se ik din kalām maiñ ne kiyā

bahut dinon mein mere ghar ki KHamoshi TuTi

KHud apne-ap se ek din kalam main ne kiya

itnī siyāh-rāt meñ itnī raushnī

ye chāñd vo nahīñ mirā mahtāb aur hai

itni siyah-raat mein itni si raushni

ye chand wo nahin mera mahtab aur hai

ye merī kāġhzī kashtī hai aur ye maiñ huuñ

ḳhabar nahīñ ki samundar faisla kyā hai

ye meri kaghzi kashti hai aur ye main hun

KHabar nahin ki samundar ka faisla kya hai

samajh liyā thā tujhe dost ham ne dhoke meñ

so aaj se tujhe bār-e-digar samajhte haiñ

samajh liya tha tujhe dost hum ne dhoke mein

so aaj se tujhe bar-e-digar samajhte hain

ye to duniyā bhī nahīñ hai ki kinārā kar le

kahāñ jā.egā ai dil ke satā.e hue shaḳhs

ye to duniya bhi nahin hai ki kinara kar le

tu kahan jaega ai dil ke satae hue shaKHs

kisī alaav sho.ala bhaḌak ke boltā hai

safar kaThin hai magar ek baar āḳhirī baar

kisi alaw ka shoala bhaDak ke bolta hai

safar kaThin hai magar ek bar aaKHiri bar

vo chāhtā thā ki dekhe mujhe bikharte hue

so us jashn ba-sad-ehtimām maiñ ne kiyā

wo chahta tha ki dekhe mujhe bikharte hue

so us ka jashn ba-sad-ehtimam main ne kiya

kuchh aur bhī darkār thā sab kuchh ke alāva

kyā hogā jise DhūñDtā thā tere sivā maiñ

kuchh aur bhi darkar tha sab kuchh ke alawa

kya hoga jise DhunDta tha tere siwa main

har shai se palaT rahī haiñ nazreñ

manzar koī jam nahīñ rahā hai

har shai se palaT rahi hain nazren

manzar koi jam nahin raha hai

har ik ufuq pe musalsal tulūa hotā huā

maiñ āftāb ke mānind rahguzār meñ thā

har ek ufuq pe musalsal tulua hota hua

main aaftab ke manind rahguzar mein tha

mizāj-e-dard ko sab lafz bhī qubūl na the

kisī kisī ko tire ġham isti.āra kiyā

mizaj-e-dard ko sab lafz bhi qubul na the

kisi kisi ko tere gham ka istiara kiya

nazar to apne manāzir ke ramz jāntī hai

ki aañkh kah nahīñ saktī sunī-sunā.ī huī

nazar to apne manazir ke ramz jaanti hai

ki aankh kah nahin sakti suni-sunai hui

aisā hai ki sikkoñ tarah mulk-e-suḳhan meñ

jaarī koī ik yaad purānī kareñ ham bhī

aisa hai ki sikkon ki tarah mulk-e-suKHan mein

jari koi ek yaad purani karen hum bhi

āḳhir ik roz utarnī hai libādoñ tarah

tan-e-malbūs! ye pahnī huī uryānī bhī

aaKHir ek roz utarni hai libaadon ki tarah

tan-e-malbus! ye pahni hui uryani bhi

barūn-e-ḳhāk faqat chand Thekre haiñ magar

yahāñ se shahr mileñge agar khudā.ī huī

barun-e-KHak faqat chand Thekre hain magar

yahan se shahr milenge agar khudai hui

yakjā.ī se pal bhar ḳhud-ārā.ī bhalī thī

sho.ale se nikal aa.e sharāre tarah ham

yakjai se pal bhar ki KHud-arai bhali thi

shoale se nikal aae sharare ki tarah hum

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now