mata-e-harf bhi KHushbu ke ma-siwa kya hai
matā-e-harf bhī ḳhushbū ke mā-sivā kyā hai
havā ke ruḳh pe na jā.ūñ to rāstā kyā hai
maiñ zard biij huuñ aur sabz honā chāhtā huuñ
mirī zamīñ tirī miTTī kā mashvara kyā hai
ye merī kāġhzī kashtī hai aur ye maiñ huuñ
ḳhabar nahīñ ki samundar kā faisla kyā hai
bikhar rahā huuñ tirī tarah maiñ bhī ai zar-e-gul
so tujh se pūchhtā huuñ terā tajraba kyā hai
mata-e-harf bhi KHushbu ke ma-siwa kya hai
hawa ke ruKH pe na jaun to rasta kya hai
main zard bij hun aur sabz hona chahta hun
meri zamin teri miTTi ka mashwara kya hai
ye meri kaghzi kashti hai aur ye main hun
KHabar nahin ki samundar ka faisla kya hai
bikhar raha hun teri tarah main bhi ai zar-e-gul
so tujh se puchhta hun tera tajraba kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.