aankhon ka bharam nahin raha hai
āñkhoñ kā bharam nahīñ rahā hai
sarmāya-e-nam nahīñ rahā hai
har shai se palaT rahī haiñ nazreñ
manzar koī jam nahīñ rahā hai
barsoñ se ruke hue haiñ lamhe
aur dil hai ki tham nahīñ rahā hai
yuuñ mahv-e-ġham-e-zamāna hai dil
jaise tirā ġham nahīñ rahā hai
aankhon ka bharam nahin raha hai
sarmaya-e-nam nahin raha hai
har shai se palaT rahi hain nazren
manzar koi jam nahin raha hai
barson se ruke hue hain lamhe
aur dil hai ki tham nahin raha hai
yun mahw-e-gham-e-zamana hai dil
jaise tera gham nahin raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.