har roz imtihan se guzara to main gaya
har roz imtihāñ se guzārā to maiñ gayā
terā to kuchh nahīñ gayā maarā to maiñ gayā
jab tak maiñ tere paas thā bas tere paas thā
tū ne mujhe zamīñ pe utārā to maiñ gayā
ye taaq ye charāġh mire kaam ke nahīñ
aayā nahīñ nazar vo dobāra to maiñ gayā
shal uñgliyoñ se thaam rakhā hai chaTān ko
chhūTā jo haath se ye kinārā to maiñ gayā
apnī anā kī āhanī zanjīr toḌ kar
dushman ne bhī madad ko pukārā to maiñ gayā
terī shikast asl meñ merī shikast hai
tū mujh se ek baar bhī haarā to maiñ gayā
har roz imtihan se guzara to main gaya
tera to kuchh nahin gaya mara to main gaya
jab tak main tere pas tha bas tere pas tha
tu ne mujhe zamin pe utara to main gaya
ye taq ye charagh mere kaam ke nahin
aaya nahin nazar wo dobara to main gaya
shal ungliyon se tham rakha hai chaTan ko
chhuTa jo hath se ye kinara to main gaya
apni ana ki aahani zanjir toD kar
dushman ne bhi madad ko pukara to main gaya
teri shikast asl mein meri shikast hai
tu mujh se ek bar bhi haara to main gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.