Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Rasa Chughtai's Photo'

Rasa Chughtai

1928 - 2018 | Karachi, Pakistan

Prominent Pakistani poet and journalist

Prominent Pakistani poet and journalist

Sher of Rasa Chughtai

21K
Favorite

SORT BY

tujh se milne ko be-qarār thā dil

tujh se mil kar bhī be-qarār rahā

tujh se milne ko be-qarar tha dil

tujh se mil kar bhi be-qarar raha

kaun dil zabāñ samajhtā hai

dil magar ye kahāñ samajhtā hai

kaun dil ki zaban samajhta hai

dil magar ye kahan samajhta hai

jin āñkhoñ se mujhe tum dekhte ho

maiñ un āñkhoñ se duniyā dekhtā huuñ

jin aankhon se mujhe tum dekhte ho

main un aankhon se duniya dekhta hun

tire nazdīk aa kar sochtā huuñ

maiñ zinda thā ki ab zinda huā huuñ

tere nazdik aa kar sochta hun

main zinda tha ki ab zinda hua hun

un jhiil gahrī āñkhoñ meñ

ik lahar har dam rahtī hai

un jhil si gahri aankhon mein

ek lahar si har dam rahti hai

ishq meñ bhī siyāsateñ niklīñ

qurbatoñ meñ bhī fāsla niklā

ishq mein bhi siyasaten niklin

qurbaton mein bhi fasla nikla

is ghar saarī dīvāreñ shīshe haiñ

lekin is ghar mālik ḳhud ik patthar hai

is ghar ki sari diwaren shishe ki hain

lekin is ghar ka malik KHud ek patthar hai

āhaTeñ sun rahā huuñ yādoñ

aaj bhī apne intizār meñ gum

aahaTen sun raha hun yaadon ki

aaj bhi apne intizar mein gum

tere aane intizār rahā

umr bhar mausam-e-bahār rahā

tere aane ka intizar raha

umr bhar mausam-e-bahaar raha

uThā laayā huuñ saare ḳhvāb apne

tirī yādoñ ke bosīda makāñ se

uTha laya hun sare KHwab apne

teri yaadon ke bosida makan se

chāñd hotā nahīñ har ik chehra

phuul hote nahīñ suḳhan saare

chand hota nahin har ek chehra

phul hote nahin suKHan sare

hai koī yahāñ shahr meñ aisā ki jise maiñ

apnā na kahūñ aur vo apnā mujhe samjhe

hai koi yahan shahr mein aisa ki jise main

apna na kahun aur wo apna mujhe samjhe

shahr meñ jaise koī aaseb hai

shahr meñ muddat se hañgāma nahīñ

shahr mein jaise koi aaseb hai

shahr mein muddat se hangama nahin

bahut dinoñ se koī hādsa nahīñ guzrā

kahīñ zamāne ko ham yaad phir na aa jaa.eñ

bahut dinon se koi hadsa nahin guzra

kahin zamane ko hum yaad phir na aa jaen

us se kahnā ki kabhī aa ke mile

ham se ranjish sabab jo bhī ho

us se kahna ki kabhi aa ke mile

hum se ranjish ka sabab jo bhi ho

ham kisī ko gavāh kyā karte

is khule āsmān ke aage

hum kisi ko gawah kya karte

is khule aasman ke aage

bārhā ham pe qayāmat guzrī

bārhā ham tire dar se guzre

barha hum pe qayamat guzri

barha hum tere dar se guzre

ārizoñ ko tire kañval kahnā

itnā āsāñ nahīñ ġhazal kahnā

aarizon ko tere kanwal kahna

itna aasan nahin ghazal kahna

shaam se baras rahī hai raat

rañg apne sambhāl kar rakhnā

sham hi se baras rahi hai raat

rang apne sambhaal kar rakhna

hāl-e-dil pūchhte ho kyā tum ne

hote dekhā hai dil udaas kahīñ

haal-e-dil puchhte ho kya tum ne

hote dekha hai dil udas kahin

ghar meñ lagtā nahīñ aur shahr ke

rāste lagte nahīñ apne aziiz

ghar mein ji lagta nahin aur shahr ke

raste lagte nahin apne aziz

aur kuchh yuuñ huā ki bachchoñ ne

chhīnā-jhapTī meñ toḌ Daalā mujhe

aur kuchh yun hua ki bachchon ne

chhina-jhapTi mein toD Dala mujhe

miTTī jab tak nam rahtī hai

ḳhushbū tāza-dam rahtī hai

miTTi jab tak nam rahti hai

KHushbu taza-dam rahti hai

aaj mauzū-e-guftugū hai hayāt

ab koī aur baat kal kahnā

aaj mauzu-e-guftugu hai hayat

ab koi aur baat kal kahna

huiiñ āñkheñ ajab behāl ab ke

ye bārish kar ga.ī kañgāl ab ke

huin aankhen ajab behaal ab ke

ye barish kar gai kangal ab ke

sirf maan.e thī hayā band-e-qabā khulne talak

phir to vo jān-e-hayā aisā khulā aisā khulā

sirf mane thi haya band-e-qaba khulne talak

phir to wo jaan-e-haya aisa khula aisa khula

uTh rahā hai dhuāñ mire ghar meñ

aag dīvār se udhar hai

uTh raha hai dhuan mere ghar mein

aag diwar se udhar ki hai

vahāñ ab ḳhvāb-gāheñ ban ga.ī haiñ

uThe the āb-dīda ham jahāñ se

wahan ab KHwab-gahen ban gai hain

uThe the aab-dida hum jahan se

bahut dinoñ meñ ye uqda khulā ki maiñ bhī huuñ

fanā raah meñ ik naqsh-e-jāvedāñ tarah

bahut dinon mein ye uqda khula ki main bhi hun

fana ki rah mein ek naqsh-e-jawedan ki tarah

alfāz meñ band haiñ ma.ānī

unvān-e-kitāb-e-dil khulā hai

alfaz mein band hain maani

unwan-e-kitab-e-dil khula hai

aks-e-zulf-e-ravāñ nahīñ jaatā

dil se ġham dhuāñ nahīñ jaatā

aks-e-zulf-e-rawan nahin jata

dil se gham ka dhuan nahin jata

sher-o-suḳhan shahr nahīñ ye shahr-e-izzat-dārāñ hai

tum to 'rasā' bad-nām hue kyuuñ auroñ ko bad-nām karūñ

sher-o-suKHan ka shahr nahin ye shahr-e-izzat-daran hai

tum to 'rasa' bad-nam hue kyun auron ko bad-nam karun

dil dhaḌaktā hai sar-e-rāh-e-ḳhayāl

ab ye āvāz jahāñ tak pahuñche

dil dhaDakta hai sar-e-rah-e-KHayal

ab ye aawaz jahan tak pahunche

sahrā-e-be-ḳhayāl meñ jal-thal kahāñ ke haiñ

āḳhir havā-e-shauq ye bādal kahāñ ke haiñ

sahra-e-be-KHayal mein jal-thal kahan ke hain

aaKHir hawa-e-shauq ye baadal kahan ke hain

Recitation

Speak Now