Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Muztar Khairabadi's Photo'

Muztar Khairabadi

1865 - 1927 | Gwalior, India

Grand father of noted poet and lyricist Javed Akhtar.

Grand father of noted poet and lyricist Javed Akhtar.

Sher of Muztar Khairabadi

34.3K
Favorite

SORT BY

ai ḳhudā duniyā pe ab qabza butoñ chāhiye

ek ghar tere liye in sab ne ḳhālī kar diyā

ai KHuda duniya pe ab qabza buton ka chahiye

ek ghar tere liye in sab ne KHali kar diya

yahāñ se jab ga.ī thī tab asar par ḳhaar khaa.e thī

vahāñ se phuul barsātī huī palTī duā merī

yahan se jab gai thi tab asar par KHar khae thi

wahan se phul barsati hui palTi dua meri

maiñ nahīñ huuñ naġhma-e-jāñ-fazā mujhe sun ke koī karegā kyā

maiñ baḌe birog huuñ sadā maiñ baḌe dukhī pukār huuñ

main nahin hun naghma-e-jaan-faza mujhe sun ke koi karega kya

main baDe birog ki hun sada main baDe dukhi ki pukar hun

parde vaale bhī kahīñ aate haiñ ghar se bāhar

ab jo aa baiThe ho tum dil meñ to baiThe rahnā

parde wale bhi kahin aate hain ghar se bahar

ab jo aa baiThe ho tum dil mein to baiThe rahna

ḳhāl-o-āriz tasavvur hai hamāre dil meñ

ek hindū bhī hai ka.abe meñ musalmān ke saath

KHal-o-ariz ka tasawwur hai hamare dil mein

ek hindu bhi hai kabe mein musalman ke sath

hāl-e-dil aġhyār se kahnā paḌā

gul qissa ḳhaar se kahnā paḌā

haal-e-dil aghyar se kahna paDa

gul ka qissa KHar se kahna paDa

maiñ masīhā use samajhtā huuñ

jo mire dard davā na kare

main masiha use samajhta hun

jo mere dard ki dawa na kare

ai buto rañj ke sāthī ho na ārām ke tum

kaam jab nahīñ aate ho to kis kaam ke tum

ai buto ranj ke sathi ho na aaram ke tum

kaam hi jab nahin aate ho to kis kaam ke tum

dil ko maiñ apne paas kyuuñ rakkhūñ

le agar ye terā hai

dil ko main apne pas kyun rakkhun

tu hi le ja agar ye tera hai

laḌā.ī hai to achchhā rāt-bhar yuuñ basar kar lo

ham apnā muñh idhar kar leñ tum apnā muñh udhar kar lo

laDai hai to achchha raat-bhar yun hi basar kar lo

hum apna munh idhar kar len tum apna munh udhar kar lo

saaqī mirā khiñchā thā to maiñ ne manā liyā

ye kis tarah mane jo dharī hai khiñchī huī

saqi mera khincha tha to main ne mana liya

ye kis tarah mane jo dhari hai khinchi hui

koī le le to dil dene ko maiñ tayyār baiThā huuñ

koī māñge to apnī jaan tak qurbān kartā huuñ

koi le le to dil dene ko main tayyar baiTha hun

koi mange to apni jaan tak qurban karta hun

na kisī aañkh nuur huuñ na kisī ke dil qarār huuñ

jo kisī ke kaam na aa sake maiñ vo ek musht-e-ġhubār huuñ

I'm not the light of any eye, for me none has a care

no use to anyone am I, dust merely scattered there

na kisi ki aankh ka nur hun na kisi ke dil ka qarar hun

jo kisi ke kaam na aa sake main wo ek musht-e-ghubar hun

I'm not the light of any eye, for me none has a care

no use to anyone am I, dust merely scattered there

jo pūchhā dil hamārā kyuuñ liyā to naaz se bole

ki thoḌī be-qarārī is dil-e-'muztar' se lenā hai

jo puchha dil hamara kyun liya to naz se bole

ki thoDi be-qarari is dil-e-'muztar' se lena hai

ka.abe meñ ham ne ke kuchh aur haal dekhā

jab but-kade meñ pahuñche sūrat dūsrī thī

kabe mein hum ne ja ke kuchh aur haal dekha

jab but-kade mein pahunche surat hi dusri thi

īmān saath jā.egā kyūñkar ḳhudā ke ghar

ka.abe rāsta to kalīsā se mil gayā

iman sath jaega kyunkar KHuda ke ghar

kabe ka rasta to kalisa se mil gaya

paḌā huuñ is tarah us dar pe 'muztar'

koī dekhe to jaane maar Daalā

paDa hun is tarah us dar pe 'muztar'

koi dekhe to jaane mar Dala

us bhī ek vaqt hai aane do maut ko

'muztar' ḳhudā yaad abhī kyuuñ kare koī

us ka bhi ek waqt hai aane do maut ko

'muztar' KHuda ki yaad abhi kyun kare koi

bose apne āriz-e-gulfām ke

mujhe de de tire kis kaam ke

bose apne aariz-e-gulfam ke

la mujhe de de tere kis kaam ke

un ik patlā ḳhanjar un ik nāzuk haath

vo to ye kahiye mirī gardan ḳhushī meñ kaT ga.ī

un ka ek patla sa KHanjar un ka ek nazuk sa hath

wo to ye kahiye meri gardan KHushi mein kaT gai

namak-pāsh-e-zaḳhm-e-jigar ab to aa

mirā dil bahut be-maza ho rahā hai

namak-pash-e-zaKHm-e-jigar ab to aa ja

mera dil bahut be-maza ho raha hai

use kyuuñ ham ne diyā dil jo hai be-mehrī meñ kāmil jise aadat hai jafā

jise chiḌh mehr-o-vafā jise aatā nahīñ aanā ġham-o-hasrat miTānā jo sitam meñ hai yagāna

jise kahtā hai zamāna but-e-be-mahr-o-daġhā-baz jafā-pesha fusūñ-sāz sitam-ḳhāna-bar-andāz

ġhazab jis har ik naaz nazar fitna mizha tiir balā zulf-e-girah-gīr ġham-o-rañj baanī qalaq-o-dard

mūjib sitam-o-jaur ustād jafā-kārī meñ māhir jo sitam-kesh-o-sitam-gar jo sitam-pesha hai

dilbar jise aatī nahīñ ulfat jo samajhtā nahīñ chāhat jo tasallī ko na samjhe jo tashaffī ko na

jaane jo kare qaul na puurā kare har kaam adhūrā yahī din-rāt tasavvur hai ki nāhaq

use chāhā jo na aa.e na bulā.e na kabhī paas biThā.e na ruḳh-e-sāf dikhā.e na koī

baat sunā.e na lagī dil bujhā.e na kalī dil khilā.e na ġham-o-rañj ghaTā.e na rah-o-rasm

baḌhā.e jo kaho kuchh to ḳhafā ho kahe shikve zarūrat jo yahī hai to na chāho jo na

chāhoge to kyā hai na nibāhoge to kyā hai bahut itrāo na dil de ke ye kis kaam dil

hai ġham-o-andoh maarā abhī chāhūñ to maiñ rakh duuñ ise talvoñ se masal kar abhī muñh

dekhte rah jaao ki haiñ un ko huā kyā ki inhoñ ne mirā dil le ke mire haath se khoyā

use kyun hum ne diya dil jo hai be-mehri mein kaamil jise aadat hai jafa ki

jise chiDh mehr-o-wafa ki jise aata nahin aana gham-o-hasrat ka miTana jo sitam mein hai yagana

jise kahta hai zamana but-e-be-mahr-o-dagha-baz jafa-pesha fusun-saz sitam-KHana-bar-andaz

ghazab jis ka har ek naz nazar fitna mizha tir bala zulf-e-girah-gir gham-o-ranj ka bani qalaq-o-dard

ka mujib sitam-o-jaur ka ustad jafa-kari mein mahir jo sitam-kesh-o-sitam-gar jo sitam-pesha hai

dilbar jise aati nahin ulfat jo samajhta nahin chahat jo tasalli ko na samjhe jo tashaffi ko na

jaane jo kare qaul na pura kare har kaam adhura yahi din-raat tasawwur hai ki nahaq

use chaha jo na aae na bulae na kabhi pas biThae na ruKH-e-saf dikhae na koi

baat sunae na lagi dil ki bujhae na kali dil ki khilae na gham-o-ranj ghaTae na rah-o-rasm

baDhae jo kaho kuchh to KHafa ho kahe shikwe ki zarurat jo yahi hai to na chaho jo na

chahoge to kya hai na nibahoge to kya hai bahut itrao na dil de ke ye kis kaam ka dil

hai gham-o-andoh ka mara abhi chahun to main rakh dun ise talwon se masal kar abhi munh

dekhte rah jao ki hain un ko hua kya ki inhon ne mera dil le ke mere hath se khoya

ahbāb-o-aqārib ke bartāv koī dekhe

avval to mujhe gāḌhā uupar se dabāte haiñ

ahbab-o-aqarib ke bartaw koi dekhe

awwal to mujhe gaDha upar se dabaate hain

fanā ke ba.ad is duniyā meñ kuchh baaqī nahīñ rahtā

faqat ik naam achchhā burā mash.hūr rahtā hai

fana ke baad is duniya mein kuchh baqi nahin rahta

faqat ek nam achchha ya bura mashhur rahta hai

musībat aur lambī zindagānī

buzurgoñ duā ne maar Daalā

all these worldly troubles and longevity

blessings of the elders is the death of me

musibat aur lambi zindagani

buzurgon ki dua ne mar Dala

all these worldly troubles and longevity

blessings of the elders is the death of me

ga.e ham dair se ka.abe magar ye kah ke phir aa.e

ki terī shakl kuchh achchhī vahīñ mālūm hotī hai

gae hum dair se kabe magar ye kah ke phir aae

ki teri shakl kuchh achchhi wahin malum hoti hai

hastī-e-ġhair sajda hai mohabbat meñ gunāh

aap apnī parastish ke sazā-vār haiñ ham

hasti-e-ghair ka sajda hai mohabbat mein gunah

aap hi apni parastish ke saza-war hain hum

tum kyuuñ shab-e-judā.ī parde meñ chhup ga.e ho

qismat ke aur taare sab āsmān par haiñ

tum kyun shab-e-judai parde mein chhup gae ho

qismat ke aur tare sab aasman par hain

jo pūchhā muñh dikhāne aap kab chilman se nikleñge

to bole aap jis din hashr meñ madfan se nikleñge

jo puchha munh dikhane aap kab chilman se niklenge

to bole aap jis din hashr mein madfan se niklenge

tere mū-e-mizha khaTakte haiñ

dil ke chhāloñ meñ nok-e-ḳhār kahāñ

tere mu-e-mizha khaTakte hain

dil ke chhaalon mein nok-e-KHar kahan

maiñ tirī rāh-e-talab meñ ba-tamannā-e-visāl

mahv aisā huuñ ki miTne bhī kuchh dhyān nahīñ

main teri rah-e-talab mein ba-tamanna-e-visal

mahw aisa hun ki miTne ka bhi kuchh dhyan nahin

sūrat to ek thī do ghar hue to kyā hai

dair-o-haram bābat jhagḌe fuzūl Daale

surat to ek hi thi do ghar hue to kya hai

dair-o-haram ki babat jhagDe fuzul Dale

saaqī ne lagī dil is tarah bujhā thī

ik buuñd chhiḌak thī ik buuñd chakhā thī

saqi ne lagi dil ki is tarah bujha di thi

ek bund chhiDak di thi ek bund chakha di thi

tasavvur meñ tirā dar apne sar tak khīñch letā huuñ

sitamgar maiñ nahīñ chaltā tirī dīvār chaltī hai

tasawwur mein tera dar apne sar tak khinch leta hun

sitamgar main nahin chalta teri diwar chalti hai

but-ḳhāne meñ kyā yād-e-ilāhī nahīñ mumkin

nāqūs se kyā kār-e-azāñ ho nahīñ saktā

but-KHane mein kya yaad-e-ilahi nahin mumkin

naqus se kya kar-e-azan ho nahin sakta

kisī ke kam haiñ kisī ke bahut magar zāhid

gunāh karne ko kyā pārsā nahīñ karte

kisi ke kam hain kisi ke bahut magar zahid

gunah karne ko kya parsa nahin karte

zulf ko kyuuñ jakaḌ ke bāñdhā hai

us ne bosa liyā thā gaal kyā

zulf ko kyun jakaD ke bandha hai

us ne bosa liya tha gal ka kya

aap se mujh ko mohabbat jo nahīñ hai na sahī

aur ba-qaul aap ke hone ko agar hai bhī to kyā

aap se mujh ko mohabbat jo nahin hai na sahi

aur ba-qaul aap ke hone ko agar hai bhi to kya

janāb-e-ḳhizr rāh-e-ishq meñ laḌne se kyā hāsil

maiñ apnā rāsta le luuñ tum apnā rāsta le lo

janab-e-KHizr rah-e-ishq mein laDne se kya hasil

main apna rasta le lun tum apna rasta le lo

unhoñ ne kyā na kiyā aur kyā nahīñ karte

hazār kuchh ho magar ik vafā nahīñ karte

unhon ne kya na kiya aur kya nahin karte

hazar kuchh ho magar ek wafa nahin karte

ḳhuub is dil pe tirī aañkh ne Dore Daale

ḳhuub kājal ne tirī aañkh meñ Dorā khīñchā

KHub is dil pe teri aankh ne Dore Dale

KHub kajal ne teri aankh mein Dora khincha

sunoge haal jo merā to daad kyā doge

yahī kahoge ki jhūTā hai zamāne

sunoge haal jo mera to dad kya doge

yahi kahoge ki jhuTa hai tu zamane ka

qabr par kyā huā jo melā hai

marne vaalā nirā akelā hai

qabr par kya hua jo mela hai

marne wala nira akela hai

vo pahlī sab vafā.eñ kyā huiiñ ab ye jafā kaisī

vo pahlī sab adā.eñ kyā huiiñ ab ye adā kyuuñ hai

wo pahli sab wafaen kya huin ab ye jafa kaisi

wo pahli sab adaen kya huin ab ye ada kyun hai

iisā kabhī na jaate lekin tumhāre ġham meñ

vo bhī to mar rahe haiñ jo āsmān par haiñ

isa kabhi na jate lekin tumhaare gham mein

wo bhi to mar rahe hain jo aasman par hain

chūkī nazar jo zāhid-e-ḳhāna-ḳharāb

tauba uḌā ke le ga.ī botal sharāb

chuki nazar jo zahid-e-KHana-KHarab ki

tauba uDa ke le gai botal sharab ki

āh-e-rasā ḳhudā ke liye dekh-bhāl ke

un bhī ghar milā huā dushman ke ghar se hai

aah-e-rasa KHuda ke liye dekh-bhaal ke

un ka bhi ghar mila hua dushman ke ghar se hai

kisī ne na dekhā tire husn ko

mirī sūrat-e-hāl dekhī ga.ī

kisi ne na dekha tere husn ko

meri surat-e-haal dekhi gai

jalegā dil tumheñ bazm-e-adū meñ dekh kar merā

dhuāñ ban ban ke armāñ mahfil-e-dushman se nikleñge

jalega dil tumhein bazm-e-adu mein dekh kar mera

dhuan ban ban ke arman mahfil-e-dushman se niklenge

bichhaḌnā bhī tumhārā jīte-jī maut hai goyā

use kyā ḳhaak lutf-e-zindagī jis se judā tum ho

bichhaDna bhi tumhaara jite-ji ki maut hai goya

use kya KHak lutf-e-zindagi jis se juda tum ho

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now