hum umr ke sath hain safar mein
ham umr ke saath haiñ safar meñ
baiThe hue jā rahe haiñ ghar meñ
ham luT ga.e terī rahguzar meñ
ye ek huī hai umr-bhar meñ
ab kaun rahā ki jis ko dekhūñ
ik tū thā so aa gayā nazar meñ
hasrat ko milā hai ḳhāna-e-dil
taqdīr khulī ġharīb ghar meñ
āñkheñ na churāo dil meñ rah kar
chorī na karo ḳhudā ke ghar meñ
ab vasl kī raat ho chukī ḳhatm
lo chhup raho dāman-e-sahar meñ
maiñ aap hī un se boltā huuñ
baiThā huuñ zabān-e-nāma-bar meñ
'muztar' karo dil hī dil meñ shikve
rah jā.egī baat ghar kī ghar meñ
hum umr ke sath hain safar mein
baiThe hue ja rahe hain ghar mein
hum luT gae teri rahguzar mein
ye ek hui hai umr-bhar mein
ab kaun raha ki jis ko dekhun
ek tu tha so aa gaya nazar mein
hasrat ko mila hai KHana-e-dil
taqdir khuli gharib ghar mein
aankhen na churao dil mein rah kar
chori na karo KHuda ke ghar mein
ab wasl ki raat ho chuki KHatm
lo chhup raho daman-e-sahar mein
main aap hi un se bolta hun
baiTha hun zaban-e-nama-bar mein
'muztar' karo dil hi dil mein shikwe
rah jaegi baat ghar ki ghar mein
- Book : Khirman (Part-1) (Pg. 126)
- Author : Muztar Khairabadi
- Publication : Javed Akhtar (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.