Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Josh Malihabadi's Photo'

Josh Malihabadi

1898 - 1982 | Islamabad, Pakistan

One of the most fiery progressive poets who is known as Shayar-e-Inquilab (revolutionary poet)

One of the most fiery progressive poets who is known as Shayar-e-Inquilab (revolutionary poet)

Sher of Josh Malihabadi

35.5K
Favorite

SORT BY

dil choToñ ne kabhī chain se rahne na diyā

jab chalī sard havā maiñ ne tujhe yaad kiyā

dil ki choTon ne kabhi chain se rahne na diya

jab chali sard hawa main ne tujhe yaad kiya

had hai apnī taraf nahīñ maiñ bhī

aur un taraf ḳhudā.ī hai

had hai apni taraf nahin main bhi

aur un ki taraf KHudai hai

mere rone jis meñ qissa hai

umr behtarīn hissa hai

mere rone ka jis mein qissa hai

umr ka behtarin hissa hai

ek din kah lījiye jo kuchh hai dil meñ aap ke

ek din sun lījiye jo kuchh hamāre dil meñ hai

ek din kah lijiye jo kuchh hai dil mein aap ke

ek din sun lijiye jo kuchh hamare dil mein hai

mujh ko to hosh nahīñ tum ko ḳhabar ho shāyad

log kahte haiñ ki tum ne mujhe barbād kiyā

mujh ko to hosh nahin tum ko KHabar ho shayad

log kahte hain ki tum ne mujhe barbaad kiya

kisī ahd-e-javānī meñ pārsā honā

qasam ḳhudā ye tauhīn hai javānī

kisi ka ahd-e-jawani mein parsa hona

qasam KHuda ki ye tauhin hai jawani ki

tabassum sazā kitnī kaḌī hai

guloñ ko khil ke murjhānā paḌā hai

tabassum ki saza kitni kaDi hai

gulon ko khil ke murjhana paDa hai

sirf itne ke liye āñkheñ hameñ baḳhshī ga.iiñ

dekhiye duniyā ke manzar aur ba-ibrat dekhiye

sirf itne ke liye aankhen hamein baKHshi gain

dekhiye duniya ke manzar aur ba-ibrat dekhiye

kashtī-e-mai ko hukm-e-ravānī bhī bhej do

jab aag bhej hai to paanī bhī bhej do

kashti-e-mai ko hukm-e-rawani bhi bhej do

jab aag bhej di hai to pani bhi bhej do

us ne va.ada kiyā hai aane

rañg dekho ġharīb ḳhāne

us ne wada kiya hai aane ka

rang dekho gharib KHane ka

insān ke lahū ko piyo izn-e-ām hai

añgūr sharāb piinā harām hai

insan ke lahu ko piyo izn-e-am hai

angur ki sharab ka pina haram hai

vahāñ se hai mirī himmat ibtidā vallāh

jo intihā hai tire sabr āzmāne

wahan se hai meri himmat ki ibtida wallah

jo intiha hai tere sabr aazmane ki

aaḌe aayā na koī mushkil meñ

mashvare de ke haT ga.e ahbāb

aaDe aaya na koi mushkil mein

mashware de ke haT gae ahbab

kaam hai merā taġhayyur naam hai merā shabāb

merā na.ara inqilāb o inqilāb o inqilāb

kaam hai mera taghayyur nam hai mera shabab

mera nara inqilab o inqilab o inqilab

subūt hai ye mohabbat sāda-lauhī

jab us ne va.ada kiyā ham ne e'tibār kiyā

subut hai ye mohabbat ki sada-lauhi ka

jab us ne wada kiya hum ne e'tibar kiya

is dil meñ tire husn vo jalvagarī hai

jo dekhe hai kahtā hai ki shīshe meñ parī hai

is dil mein tere husn ki wo jalwagari hai

jo dekhe hai kahta hai ki shishe mein pari hai

is ronā nahīñ kyuuñ tum ne kiyā dil barbād

is ġham hai ki bahut der meñ barbād kiyā

is ka rona nahin kyun tum ne kiya dil barbaad

is ka gham hai ki bahut der mein barbaad kiya

vo kareñ bhī to kin alfāz meñ terā shikva

jin ko terī nigah-e-lutf ne barbād kiyā

wo karen bhi to kin alfaz mein tera shikwa

jin ko teri nigah-e-lutf ne barbaad kiya

aap se ham ko rañj kaisā

muskurā dījiye safā.ī se

aap se hum ko ranj hi kaisa

muskura dijiye safai se

ham aise ahl-e-nazar ko subūt-e-haq ke liye

agar rasūl na hote to sub.h kaafī thī

hum aise ahl-e-nazar ko subut-e-haq ke liye

agar rasul na hote to subh kafi thi

soz-e-ġham de ke mujhe us ne ye irshād kiyā

tujhe kashmakash-e-dahr se āzād kiyā

soz-e-gham de ke mujhe us ne ye irshad kiya

ja tujhe kashmakash-e-dahr se aazad kiya

ab tak na ḳhabar thī mujhe ujḌe hue ghar

vo aa.e to ghar be-sar-o-sāmāñ nazar aayā

ab tak na KHabar thi mujhe ujDe hue ghar ki

wo aae to ghar be-sar-o-saman nazar aaya

koī aayā tirī jhalak dekhī

koī bolā sunī tirī āvāz

koi aaya teri jhalak dekhi

koi bola suni teri aawaz

ham ga.e the us se karne shikva-e-dard-e-firāq

muskurā kar us ne dekhā sab gila jaatā rahā

hum gae the us se karne shikwa-e-dard-e-firaq

muskura kar us ne dekha sab gila jata raha

itnā mānūs huuñ fitrat se kalī jab chaTkī

jhuk ke maiñ ne ye kahā mujh se kuchh irshād kiyā?

itna manus hun fitrat se kali jab chaTki

jhuk ke main ne ye kaha mujh se kuchh irshad kiya?

haañ āsmān apnī bulandī se hoshiyār

ab sar uThā rahe haiñ kisī āstāñ se ham

han aasman apni bulandi se hoshiyar

ab sar uTha rahe hain kisi aastan se hum

jitne gadā-navāz the kab ke guzar chuke

ab kyuuñ bichhā.e baiThe haiñ ham boriyā na pūchh

jitne gada-nawaz the kab ke guzar chuke

ab kyun bichhae baiThe hain hum boriya na puchh

ik na ik zulmat se jab vābasta rahnā hai to 'josh'

zindagī par sāya-e-zulf-e-pareshāñ kyuuñ na ho

ek na ek zulmat se jab wabasta rahna hai to 'josh'

zindagi par saya-e-zulf-e-pareshan kyun na ho

guzar rahā hai idhar se to muskurātā

charāġh-e-majlis-e-rūhāniyāñ jalātā

guzar raha hai idhar se to muskuraata ja

charagh-e-majlis-e-ruhaniyan jalata ja

har ek kāñTe pe surḳh kirneñ har ik kalī meñ charāġh raushan

ḳhayāl meñ muskurāne vaale tirā tabassum kahāñ nahīñ hai

har ek kanTe pe surKH kirnen har ek kali mein charagh raushan

KHayal mein muskurane wale tera tabassum kahan nahin hai

milā jo mauqa.a to rok dūñgā 'jalāl' roz-e-hisāb terā

paḌhūñgā rahmat vo qasīda ki hañs paḌegā azaab terā

mila jo mauqa to rok dunga 'jalal' roz-e-hisab tera

paDhunga rahmat ka wo qasida ki hans paDega azab tera

bādbāñ naaz se lahrā ke chalī bād-e-murād

kārvāñ eid manā qāfila-sālār aayā

baadban naz se lahra ke chali baad-e-murad

karwan eid mana qafila-salar aaya

idhar terī mashiyyat hai udhar hikmat rasūloñ

ilāhī aadmī ke baab meñ kyā hukm hotā hai

idhar teri mashiyyat hai udhar hikmat rasulon ki

ilahi aadmi ke bab mein kya hukm hota hai

pahchān gayā sailāb hai us ke siine meñ armānoñ

dekhā jo safīne ko mere chhūT gayā tūfānoñ

pahchan gaya sailab hai us ke sine mein armanon ka

dekha jo safine ko mere ji chhuT gaya tufanon ka

bigāḌ kar banā.e ubhār kar miTā.e

ki maiñ tirā charāġh huuñ jalā.e bujhā.e

bigaD kar banae ja ubhaar kar miTae ja

ki main tera charagh hun jalae ja bujhae ja

ab ai ḳhudā ināyat-e-bejā se fā.eda

mānūs ho chuke haiñ ġham-e-jāvedāñ se ham

ab ai KHuda inayat-e-beja se faeda

manus ho chuke hain gham-e-jawedan se hum

allāh re husn-e-dost ā.īna-dāriyāñ

ahl-e-nazar ko naqsh-ba-dīvār kar diyā

allah re husn-e-dost ki aaina-dariyan

ahl-e-nazar ko naqsh-ba-diwar kar diya

ab dil safīna kyā ubhre tūfāñ havā.eñ sākin haiñ

ab bahr se kashtī kyā khele maujoñ meñ koī girdāb nahīñ

ab dil ka safina kya ubhre tufan ki hawaen sakin hain

ab bahr se kashti kya khele maujon mein koi girdab nahin

duniyā ne fasānoñ ko baḳhshī afsurda haqā.eq talḳhī

aur ham ne haqā.eq ke naqshe meñ rañg bharā afsānoñ

duniya ne fasanon ko baKHshi afsurda haqaeq ki talKHi

aur hum ne haqaeq ke naqshe mein rang bhara afsanon ka

zarā āhista le chal kārvān-e-kaif-o-mastī ko

ki sat.h-e-zehn-e-ālam saḳht nā-hamvār hai saaqī

zara aahista le chal karwan-e-kaif-o-masti ko

ki sath-e-zehn-e-alam saKHt na-hamwar hai saqi

mahfil-e-ishq meñ vo nāzish-e-daurāñ aayā

ai gadā ḳhvāb se bedār ki sultāñ aayā

mahfil-e-ishq mein wo nazish-e-dauran aaya

ai gada KHwab se bedar ki sultan aaya

mile jo vaqt to ai rah-rav-e-rah-e-iksīr

haqīr ḳhaak se bhī sāz-bāz kartā

mile jo waqt to ai rah-raw-e-rah-e-iksir

haqir KHak se bhi saz-baz karta ja

shabāb-e-rafta ke qadam chaap sun rahā huuñ maiñ

nadīm ahad-e-shauq sunā.e kahāniyāñ

shabab-e-rafta ke qadam ki chap sun raha hun main

nadim ahad-e-shauq ki sunae ja kahaniyan

fuġhāñ ki mujh ġharīb ko hayāt ye hukm hai

samajh har ek raaz ko magar fareb khaa.e

fughan ki mujh gharib ko hayat ka ye hukm hai

samajh har ek raaz ko magar fareb khae ja

naqsh-e-ḳhayāl dil se miTāyā nahīñ hanūz

be-dard maiñ ne tujh ko bhulāyā nahīñ hanūz

naqsh-e-KHayal dil se miTaya nahin hanuz

be-dard main ne tujh ko bhulaya nahin hanuz

haañ kaun pūchhtā hai ḳhushī nahufta raaz

phir ġham baar dil pe uThā.e hue haiñ ham

han kaun puchhta hai KHushi ka nahufta raaz

phir gham ka bar dil pe uThae hue hain hum

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now