behoshiyon ne aur KHabardar kar diya
behoshiyoñ ne aur ḳhabardār kar diyā
soī jo aql ruuh ne bedār kar diyā
allāh re husn-e-dost kī ā.īna-dāriyāñ
ahl-e-nazar ko naqsh-ba-dīvār kar diyā
yā rab ye bhed kyā hai ki rāhat kī fikr ne
insāñ ko aur ġham meñ giraftār kar diyā
dil kuchh panap chalā thā taġhāful kī rasm se
phir tere iltifāt ne bīmār kar diyā
kal un ke aage sharah-e-tamannā kī aarzū
itnī baḌhī ki nutq ko bekār kar diyā
mujh ko vo baḳhshte the do aalam kī nemateñ
mere ġhurūr-e-ishq ne inkār kar diyā
ye dekh kar ki un ko hai rañgīniyoñ kā shauq
āñkhoñ ko ham ne dīda-e-ḳhūñ-bār kar diyā
behoshiyon ne aur KHabardar kar diya
soi jo aql ruh ne bedar kar diya
allah re husn-e-dost ki aaina-dariyan
ahl-e-nazar ko naqsh-ba-diwar kar diya
ya rab ye bhed kya hai ki rahat ki fikr ne
insan ko aur gham mein giraftar kar diya
dil kuchh panap chala tha taghaful ki rasm se
phir tere iltifat ne bimar kar diya
kal un ke aage sharah-e-tamanna ki aarzu
itni baDhi ki nutq ko bekar kar diya
mujh ko wo baKHshte the do aalam ki nematen
mere ghurur-e-ishq ne inkar kar diya
ye dekh kar ki un ko hai ranginiyon ka shauq
aankhon ko hum ne dida-e-KHun-bar kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.