Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udhar mazhab idhar insan ki fitrat ka taqaza hai

Josh Malihabadi

udhar mazhab idhar insan ki fitrat ka taqaza hai

Josh Malihabadi

udhar maz.hab idhar insāñ fitrat taqāzā hai

vo dāmān-e-mah-e-kan.āñ hai ye dast-e-zuleḳhā hai

idhar terī mashiyyat hai udhar hikmat rasūloñ

ilāhī aadmī ke baab meñ kyā hukm hotā hai

ye maanā donoñ dhoke haiñ rindī ho ki darveshī

magar ye dekhnā hai kaun rañgīn dhokā hai

khilaunā to nihāyat shoḳh o rañgīñ hai tamaddun

muārrif maiñ bhī huuñ lekin khilaunā phir khilaunā hai

mire aage to ab kuchh din se har aañsū mohabbat

kanār-e-āb-e-ruknābād o gulgasht-e-musallā hai

mujhe mālūm hai jo kuchh tamannā hai rasūloñ

magar kyā dar-haqīqat vo ḳhudā bhī tamannā hai

mashiyyat khelnā zebā nahīñ merī basīrat se

uThā le in khilaunoñ ko ye duniyā hai vo uqbā hai

udhar mazhab idhar insan ki fitrat ka taqaza hai

wo daman-e-mah-e-kanan hai ye dast-e-zuleKHa hai

idhar teri mashiyyat hai udhar hikmat rasulon ki

ilahi aadmi ke bab mein kya hukm hota hai

ye mana donon hi dhoke hain rindi ho ki darweshi

magar ye dekhna hai kaun sa rangin dhoka hai

khilauna to nihayat shoKH o rangin hai tamaddun ka

muarrif main bhi hun lekin khilauna phir khilauna hai

mere aage to ab kuchh din se har aansu mohabbat ka

kanar-e-ab-e-ruknabaad o gulgasht-e-musalla hai

mujhe malum hai jo kuchh tamanna hai rasulon ki

magar kya dar-haqiqat wo KHuda ki bhi tamanna hai

mashiyyat khelna zeba nahin meri basirat se

uTha le in khilaunon ko ye duniya hai wo uqba hai

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now