Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Jameel Mazhari's Photo'

Jameel Mazhari

1904 - 1979 | Kolkata, India

One of the outstanding pre-modern poets known for his radical views.

One of the outstanding pre-modern poets known for his radical views.

Sher of Jameel Mazhari

3.5K
Favorite

SORT BY

jalāne vaale jalāte haiñ charāġh āḳhir

ye kyā kahā ki havā tez hai zamāne

jalane wale jalate hi hain charagh aaKHir

ye kya kaha ki hawa tez hai zamane ki

ham mohabbat sabaq bhuul ga.e

terī āñkhoñ ne paḌhāyā kyā hai

hum mohabbat ka sabaq bhul gae

teri aankhon ne paDhaya kya hai

hone do charāġhāñ mahloñ meñ kyā ham ko agar dīvālī hai

mazdūr haiñ ham mazdūr haiñ ham mazdūr duniyā kaalī hai

hone do charaghan mahlon mein kya hum ko agar diwali hai

mazdur hain hum mazdur hain hum mazdur ki duniya kali hai

ba-qadr-e-paimāna-e-taḳhayyul surūr har dil meñ hai ḳhudī

agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jaa.e aadmī

ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka

agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka

aayā ye kaun sāya-e-zulf-e-darāz meñ

peshāni-e-sahar ujālā liye hue

aaya ye kaun saya-e-zulf-e-daraaz mein

peshani-e-sahar ka ujala liye hue

inhī hairat-zada āñkhoñ se dekhe haiñ vo aañsū bhī

jo aksar dhuup meñ mehnat peshānī se Dhalte haiñ

inhi hairat-zada aankhon se dekhe hain wo aansu bhi

jo aksar dhup mein mehnat ki peshani se Dhalte hain

kise ḳhabar thī ki le kar charāġh-e-mustafavī

jahāñ meñ aag lagātī phiregī bū-lahabī

kise KHabar thi ki le kar charagh-e-mustafawi

jahan mein aag lagati phiregi bu-lahabi

butoñ ko toḌ ke aisā ḳhudā banānā kyā

butoñ tarah jo ham-shakl aadmī ho

buton ko toD ke aisa KHuda banana kya

buton ki tarah jo ham-shakl aadmi ka ho

ai sajda-farosh-e-kū-e-butāñ har sar ke liye ik chaukhaT hai

ye bhī koī shān-e-ishq huī jis dar pe ga.e sar phoḌ liyā

ai sajda-farosh-e-ku-e-butan har sar ke liye ek chaukhaT hai

ye bhi koi shan-e-ishq hui jis dar pe gae sar phoD liya

nahīñ afsūñ ko afsāne manzil ma.alūm

ġhalat āġhāz hotā hai anjām ġhalat

nahin afsun hi ko afsane ki manzil malum

ghalat aaghaz ka hota hi hai anjam ghalat

hastī hai judā.ī se us jab vasl huā to kuchh bhī nahīñ

dariyā meñ na thā to qatra thā dariyā meñ milā to kuchh bhī nahīñ

TRANSLATION

Its existence is due to separation, when united, it was nothing,

When not in the ocean, it was a drop, when united, it was nothing.

Sagar Akbarabadi

hasti hai judai se us ki jab wasl hua to kuchh bhi nahin

dariya mein na tha to qatra tha dariya mein mila to kuchh bhi nahin

TRANSLATION

Its existence is due to separation, when united, it was nothing,

When not in the ocean, it was a drop, when united, it was nothing.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Speak Now