Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

hasti hai judai se uski jab wasl hua to kuchh bhi nahin

Jameel Mazhari

hasti hai judai se uski jab wasl hua to kuchh bhi nahin

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    hastī hai judā.ī se us jab vasl huā to kuchh bhī nahīñ

    dariyā meñ na thā to qatra thā dariyā meñ milā to kuchh bhī nahīñ

    ik sham.a jalī to mahfil meñ har samt ujālā phail gayā

    qānūn yahī hai fitrat parvāna jalā to kuchh bhī nahīñ

    sailāb meñ tinke raqsāñ the maujoñ se safīne larzāñ the

    ik dariyā thā sau tūfāñ the dariyā na rahā to kuchh bhī nahīñ

    asliyat thī dhoka thā ik fitna-e-rañgīñ barpā thā

    sau jalve the ik parda thā parda na rahā to kuchh bhī nahīñ

    tūfāñ bhī thā āñdhī bhī thī bārāñ bhī thā bijlī bhī thī

    aa.ī jo ghaTā to sab kuchh thā barsī jo ghaTā to kuchh bhī nahīñ

    phūloñ se chaman ābād bhī the daam apnā liye sayyād bhī the

    sab kuchh thā 'jamīl' is gulshan meñ badlī jo havā to kuchh bhī nahīñ

    hasti hai judai se us ki jab wasl hua to kuchh bhi nahin

    dariya mein na tha to qatra tha dariya mein mila to kuchh bhi nahin

    ek shama jali to mahfil mein har samt ujala phail gaya

    qanun yahi hai fitrat ka parwana jala to kuchh bhi nahin

    sailab mein tinke raqsan the maujon se safine larzan the

    ek dariya tha sau tufan the dariya na raha to kuchh bhi nahin

    asliyat thi ya dhoka tha ek fitna-e-rangin barpa tha

    sau jalwe the ek parda tha parda na raha to kuchh bhi nahin

    tufan bhi tha aandhi bhi thi baran bhi tha bijli bhi thi

    aai jo ghaTa to sab kuchh tha barsi jo ghaTa to kuchh bhi nahin

    phulon se chaman aabaad bhi the dam apna liye sayyaad bhi the

    sab kuchh tha 'jamil' is gulshan mein badli jo hawa to kuchh bhi nahin

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    hasti hai judai se uski jab wasl hua to kuchh bhi nahin Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now