Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

bulao usko zaban-dan jo mazhari ka ho

Jameel Mazhari

bulao usko zaban-dan jo mazhari ka ho

Jameel Mazhari

bulāo us ko zabāñ-dāñ jo 'maz.harī' ho

magar hai shart ki ikkīsvīñ sadī ho

yaqīñ vahī hai jo āġhosh-e-tīrgī meñ mile

savād-v-vahm meñ ham-sāya raushnī ho

butoñ ko toḌ ke aisā ḳhudā banānā kyā

butoñ tarah jo ham-shakl aadmī ho

mirā ġhurūr na kyuuñ ho surūr se ḳhālī

jab us ke bhes meñ ik chor kam-tarī ho

bahut bajā hai ye maz.hab maut par mātam

magar koī to azā-dār shā.erī ho

hai vaqt vo ki musallam ho āzarī us

sanam-kadoñ meñ sanam zehn 'maz.harī' ho

bulao us ko zaban-dan jo 'mazhari' ka ho

magar hai shart ki ikkiswin sadi ka ho

yaqin wahi hai jo aaghosh-e-tirgi mein mile

sawad-w-wahm mein ham-saya raushni ka ho

buton ko toD ke aisa KHuda banana kya

buton ki tarah jo ham-shakl aadmi ka ho

mera ghurur na kyun ho surur se KHali

jab us ke bhes mein ek chor kam-tari ka ho

bahut baja hai ye mazhab ki maut par matam

magar koi to aza-dar shaeri ka ho

hai waqt wo ki musallam ho aazari us ki

sanam-kadon mein sanam zehn 'mazhari' ka ho

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now