Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka

Jameel Mazhari

ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka

Jameel Mazhari

ba-qadr-e-paimāna-e-taḳhayyul surūr har dil meñ hai ḳhudī

agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jaa.e aadmī

bas ek ehsās-e-nā-rasā.ī na josh is meñ na hosh us ko

junūñ pe hālat rubūdgī ḳhirad pe aalam ġhunūdgī

hai ruuh tārīkiyoñ meñ hairāñ bujhā huā hai charāġh-e-manzil

kahīñ sar-e-rāh ye musāfir paTak na de bojh zindagī

ḳhudā rahmat pe bhuul baiThūñ yahī na mā'nī hai is ke vaa.iz

vo abr muntazir khaḌā ho makān jaltā ho jab kisī

vo laakh jhukvā le sar ko mere magar ye dil ab nahīñ jhukegā

ki kibriyā.ī se bhī ziyāda mizāj nāzuk hai bandagī

'jamīl' hairat meñ hai zamāna mire taġhazzul muflisī par

na jazba-e-ijtibā-e-rizvī na kaif 'parvez-shāhidī'

ba-qadr-e-paimana-e-taKHayyul surur har dil mein hai KHudi ka

agar na ho ye fareb-e-paiham to dam nikal jae aadmi ka

bas ek ehsas-e-na-rasai na josh is mein na hosh us ko

junun pe haalat rubudgi ki KHirad pe aalam ghunudgi ka

hai ruh tarikiyon mein hairan bujha hua hai charagh-e-manzil

kahin sar-e-rah ye musafir paTak na de bojh zindagi ka

KHuda ki rahmat pe bhul baiThun yahi na ma'ni hai is ke waiz

wo abr ka muntazir khaDa ho makan jalta ho jab kisi ka

wo lakh jhukwa le sar ko mere magar ye dil ab nahin jhukega

ki kibriyai se bhi ziyaada mizaj nazuk hai bandagi ka

'jamil' hairat mein hai zamana mere taghazzul ki muflisi par

na jazba-e-ijtiba-e-rizwi na kaif 'parwez-shahidi' ka

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now