Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Sher on Shokhi

Playfulness is a typical

quality of the beloved and it makes her all the more romantic and appealing. In other words, a beloved without some amount of coquetry or playfulness would not be so romantic. You may like to go through these examples that personify a beloved as one who is now bouncy, now mischievous, now playful, and now full of light wit.

jo kahā maiñ ne ki pyaar aatā hai mujh ko tum par

hañs ke kahne lagā aur aap ko aatā kyā hai

laughing, she inquired when, I said "I love you"

is there anything else at all that you know to do

jo kaha main ne ki pyar aata hai mujh ko tum par

hans ke kahne laga aur aap ko aata kya hai

laughing, she inquired when, I said "I love you"

is there anything else at all that you know to do

Akbar Allahabadi

pūchhā jo un se chāñd nikaltā hai kis tarah

zulfoñ ko ruḳh pe Daal ke jhaTkā diyā ki yuuñ

puchha jo un se chand nikalta hai kis tarah

zulfon ko ruKH pe Dal ke jhaTka diya ki yun

Arzoo Lakhnavi

faqat nigāh se hotā hai faisla dil

na ho nigāh meñ shoḳhī to dilbarī kyā hai

faqat nigah se hota hai faisla dil ka

na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai

Allama Iqbal

saath shoḳhī ke kuchh hijāb bhī hai

is adā kahīñ javāb bhī hai

sath shoKHi ke kuchh hijab bhi hai

is ada ka kahin jawab bhi hai

Dagh Dehlvi

ishva bhī hai shoḳhī bhī tabassum bhī hayā bhī

zālim meñ aur ik baat hai is sab ke sivā bhī

ishwa bhi hai shoKHi bhi tabassum bhi haya bhi

zalim mein aur ek baat hai is sab ke siwa bhi

Akbar Allahabadi

parda-e-lutf meñ ye zulm-o-sitam kyā kahiye

haa.e zālim tirā andāz-e-karam kyā kahiye

parda-e-lutf mein ye zulm-o-sitam kya kahiye

hae zalim tera andaz-e-karam kya kahiye

Firaq Gorakhpuri

shoḳhī se Thahartī nahīñ qātil nazar aaj

ye barq-e-balā dekhiye girtī hai kidhar aaj

shoKHi se Thaharti nahin qatil ki nazar aaj

ye barq-e-bala dekhiye girti hai kidhar aaj

Dagh Dehlvi

kahā maiñ ne martā huuñ tum par to bole

nikalte na dekhā janāza kisī

kaha main ne marta hun tum par to bole

nikalte na dekha janaza kisi ka

Unknown

zarā un shoḳhī to dekhnā liye zulf-e-ḳham-shuda haath meñ

mere paas aa.e dabe dabe mujhe saañp kah ke Darā diyā

zara un ki shoKHi to dekhna liye zulf-e-KHam-shuda hath mein

mere pas aae dabe dabe mujhe sanp kah ke Dara diya

Navab Sultan Jahan Begam

shoḳhī-e-husn ke nazzāre tāqat hai kahāñ

tifl-e-nādāñ huuñ maiñ bijlī se dahal jaatā huuñ

shoKHi-e-husn ke nazzare ki taqat hai kahan

tifl-e-nadan hun main bijli se dahal jata hun

Mushafi Ghulam Hamdani
Speak Now