mere siine se zarā kaan lagā kar dekho
saañs chaltī hai ki zanjīr-zanī hotī hai
mere sine se zara kan laga kar dekho
sans chalti hai ki zanjir-zani hoti hai
phir karbalā ke ba.ad dikhā.ī nahīñ diyā
aisā koī bhī shaḳhs ki pyāsā kaheñ jise
phir karbala ke baad dikhai nahin diya
aisa koi bhi shaKHs ki pyasa kahen jise
qatl-e-husain asl meñ marg-e-yazīd hai
islām zinda hotā hai har karbalā ke ba.ad
qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hai
islam zinda hota hai har karbala ke baad
havā-e-zulm sochtī hai kis bhañvar meñ aa ga.ī
vo ik diyā bujhā to saiñkaḌoñ diye jalā gayā
hawa-e-zulm sochti hai kis bhanwar mein aa gai
wo ek diya bujha to sainkaDon diye jala gaya
-
Tag : Resistance
buland hāthoñ meñ zanjīr Daal dete haiñ
ajiib rasm chalī hai duā na māñge koī
buland hathon mein zanjir Dal dete hain
ajib rasm chali hai dua na mange koi
-
Tag : Dua
pā-ba-gil sab haiñ rihā.ī kī kare tadbīr kaun
dast-basta shahr meñ khole mirī zanjīr kaun
pa-ba-gil sab hain rihai ki kare tadbir kaun
dast-basta shahr mein khole meri zanjir kaun
salām un pe tah-e-teġh bhī jinhoñ ne kahā
jo terā hukm jo terī razā jo tū chāhe
salam un pe tah-e-tegh bhi jinhon ne kaha
jo tera hukm jo teri raza jo tu chahe
-
Tag : Bandagi
saañs letā huuñ to rotā hai koī siine meñ
dil dhaḌaktā hai to mātam kī sadā aatī hai
sans leta hun to rota hai koi sine mein
dil dhaDakta hai to matam ki sada aati hai
jab bhī zamīr-o-zarf kā saudā ho dosto
qaa.em raho husain ke inkār kī tarah
jab bhi zamir-o-zarf ka sauda ho dosto
qaem raho husain ke inkar ki tarah
tā-qayāmat zikr se raushan rahegī ye zamīñ
zulmatoñ kī shaam meñ ik raushnī hai karbalā
ta-qayamat zikr se raushan rahegi ye zamin
zulmaton ki sham mein ek raushni hai karbala
husain-ibn-e-alī karbalā ko jaate haiñ
magar ye log abhī tak gharoñ ke andar haiñ
husain-ibn-e-ali karbala ko jate hain
magar ye log abhi tak gharon ke andar hain
-
Tag : Bewafai
havā-e-kūfa-e-nā-mehrbāñ ko hairat hai
ki log ḳhema-e-sabr-o-razā meñ zinda haiñ
hawa-e-kufa-e-na-mehrban ko hairat hai
ki log KHema-e-sabr-o-raza mein zinda hain
dil hai pyāsā husain ke mānind
ye badan karbalā kā maidāñ hai
dil hai pyasa husain ke manind
ye badan karbala ka maidan hai
kal jahāñ zulm ne kaaTī thiiñ saroñ kī fasleñ
nam huī hai to usī ḳhaak se lashkar niklā
kal jahan zulm ne kaTi thin saron ki faslen
nam hui hai to usi KHak se lashkar nikla
sāhil tamām ashk-e-nadāmat se aT gayā
dariyā se koī shaḳhs to pyāsā palaT gayā
sahil tamam ashk-e-nadamat se aT gaya
dariya se koi shaKHs to pyasa palaT gaya
-
Tags : Pyasand 1 more
tanhā tire mātam meñ nahīñ shām-e-siyah-posh
rahtā hai sadā chaak garebān-e-sahar bhī
the Night's black garb is not alone / there in your lament
the ever-tattered collar of / the Dawn too is present
tanha tere matam mein nahin sham-e-siyah-posh
rahta hai sada chaak gareban-e-sahar bhi
the Night's black garb is not alone / there in your lament
the ever-tattered collar of / the Dawn too is present
tanhā khaḌā huuñ maiñ bhī sar-e-karbalā-e-asr
aur sochtā huuñ mere taraf-dār kyā hue
tanha khaDa hun main bhi sar-e-karbala-e-asr
aur sochta hun mere taraf-dar kya hue
tum jo kuchh chāho vo tārīḳh meñ tahrīr karo
ye to neza hī samajhtā hai ki sar meñ kyā thā
tum jo kuchh chaho wo tariKH mein tahrir karo
ye to neza hi samajhta hai ki sar mein kya tha
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamannā mat pūchh
īd-e-nazzāra hai shamshīr kā uryāñ honā
Ask not the delight of those for martyrdom who wait
Unsheathing of the sword for them is cause to celebrate
ishrat-e-qatl-gah-e-ahl-e-tamanna mat puchh
id-e-nazzara hai shamshir ka uryan hona
Ask not the delight of those for martyrdom who wait
Unsheathing of the sword for them is cause to celebrate
zavāl-e-asr hai kuufe meñ aur gadāgar haiñ
khulā nahīñ koī dar bāb-e-iltijā ke sivā
zawal-e-asr hai kufe mein aur gadagar hain
khula nahin koi dar bab-e-iltija ke siwa
'mus.hafī' karb-o-balā kā safar āsān nahīñ
saiñkaḌoñ basra-o-baġhdād meñ mar jaate haiñ
'mushafi' karb-o-bala ka safar aasan nahin
sainkaDon basra-o-baghdad mein mar jate hain
sīna-kūbī se zamīñ saarī hilā ke uTThe
kyā alam dhuum se tere shohadā ke uTThe
sina-kubi se zamin sari hila ke uTThe
kya alam dhum se tere shohada ke uTThe
shu’ūr-e-tishnagī ik roz meñ puḳhta nahīñ hotā
mire hoñToñ ne sadiyoñ karbalā kī ḳhaak chūmī hai
shu’ur-e-tishnagi ek roz mein puKHta nahin hota
mere honTon ne sadiyon karbala ki KHak chumi hai