Maulana Mohammad Ali Jauhar
Ghazal 19
Sher-o-Shayari 10
qatl-e-husain asl meñ marg-e-yazīd hai
islām zinda hotā hai har karbalā ke ba.ad
qatl-e-husain asl mein marg-e-yazid hai
islam zinda hota hai har karbala ke baad
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
saarī duniyā ye samajhtī hai ki saudā.ī hai
ab mirā hosh meñ aanā tirī rusvā.ī hai
sari duniya ye samajhti hai ki saudai hai
ab mera hosh mein aana teri ruswai hai
- Add to favorites
-
Share this
shikva sayyād kā bejā hai qafas meñ bulbul
yaañ tujhe aap tirā tarz-e-fuġhāñ laayā hai
shikwa sayyaad ka beja hai qafas mein bulbul
yan tujhe aap tera tarz-e-fughan laya hai
- Add to favorites
-
Share this
tujh se kyā sub.h talak saath nibhegā ai umr
shab-e-furqat kī jo ghaḌiyoñ kā guzarnā hai yahī
tujh se kya subh talak sath nibhega ai umr
shab-e-furqat ki jo ghaDiyon ka guzarna hai yahi
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
vahī din hai hamārī iid kā din
jo tirī yaad meñ guzartā hai
wahi din hai hamari id ka din
jo teri yaad mein guzarta hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal