Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Nooh Narvi's Photo'

Nooh Narvi

1878 - 1962

Known for promptness of expression/ Disciple of ‘Dagh’ Dehlvi

Known for promptness of expression/ Disciple of ‘Dagh’ Dehlvi

Sher of Nooh Narvi

15.9K
Favorite

SORT BY

hameñ isrār milne par tumheñ inkār milne se

na tum maano na ham māneñ na ye kam ho na vo kam ho

hamein israr milne par tumhein inkar milne se

na tum mano na hum manen na ye kam ho na wo kam ho

ai 'nūh' na tark-e-shā.erī ho

be-kār-mabāsh kuchh kiyā kar

ai 'nuh' na tark-e-shaeri ho

be-kar-mabash kuchh kiya kar

chalo 'nūh' tum ko dikhā laa.eñ tum ne

na mai-ḳhāna dekhā na but-ḳhāna dekhā

chalo 'nuh' tum ko dikha laen tum ne

na mai-KHana dekha na but-KHana dekha

vo baat kyā jo aur tahrīk se huī

vo kaam kyā jo ġhair imdād se huā

wo baat kya jo aur ki tahrik se hui

wo kaam kya jo ghair ki imdad se hua

tāsīr ke do hisse agar hoñ to mazā hai

ik merī fuġhāñ ko mile ik terī adā ko

tasir ke do hisse agar hon to maza hai

ek meri fughan ko mile ek teri ada ko

maiñ koī hāl-e-sitam muñh se kahūñ na kahūñ

ai sitamgar tire andāz kahe dete haiñ

main koi haal-e-sitam munh se kahun ya na kahun

ai sitamgar tere andaz kahe dete hain

vo ḳhudā.ī kar rahe the jab ḳhudā hone se qabl

to ḳhudā jaane kareñge kyā ḳhudā hone ke ba.ad

wo KHudai kar rahe the jab KHuda hone se qabl

to KHuda jaane karenge kya KHuda hone ke baad

dil nazr karo zulm saho naaz uThāo

ai ahl-e-tamannā ye haiñ arkān-e-tamannā

dil nazr karo zulm saho naz uThao

ai ahl-e-tamanna ye hain arkan-e-tamanna

jaane ko jaa.e fasl-e-gul aane ko aa.e har baras

ham ġham-zadoñ ke vāste jaise chaman vaise qafas

jaane ko jae fasl-e-gul aane ko aae har baras

hum gham-zadon ke waste jaise chaman waise qafas

dam jo niklā to mudda.ā niklā

ek ke saath dūsrā niklā

dam jo nikla to muddaa nikla

ek ke sath dusra nikla

mujh ko nazroñ ke laḌāne se hai kaam

aap ko āñkheñ dikhāne se ġharaz

mujh ko nazron ke laDane se hai kaam

aap ko aankhen dikhane se gharaz

mujh ko ye fikr ki dil muft gayā hāthoñ se

un ko ye naaz ki ham ne use chhīnā kaisā

mujh ko ye fikr ki dil muft gaya hathon se

un ko ye naz ki hum ne use chhina kaisa

milnā jo na ho tum ko to kah do na mileñge

ye kyā kabhī parsoñ hai kabhī kal hai kabhī aaj

milna jo na ho tum ko to kah do na milenge

ye kya kabhi parson hai kabhi kal hai kabhi aaj

aate aate raah par vo ā.eñge

jaate jaate bad-gumānī jā.egī

aate aate rah par wo aaenge

jate jate bad-gumani jaegi

ye mere paas jo chup-chāp aa.e baiThe haiñ

hazār fitna-e-mahshar uThā.e baiThe haiñ

ye mere pas jo chup-chap aae baiThe hain

hazar fitna-e-mahshar uThae baiThe hain

ai 'nūh' khul chale the vo ham se shab-e-visāl

itne meñ āftāb numūdār ho gayā

ai 'nuh' khul chale the wo hum se shab-e-visal

itne mein aaftab numudar ho gaya

ka.aba ho dair ho donoñ meñ hai jalva us

ġhaur se dekhe agar dekhne vaalā us

kaba ho dair ho donon mein hai jalwa us ka

ghaur se dekhe agar dekhne wala us ka

mājrā-e-qais mere zehn meñ mahfūz hai

ek dīvāne se suniye ek dīvāne haal

majra-e-qais mere zehn mein mahfuz hai

ek diwane se suniye ek diwane ka haal

vo ḳhudā jaane ghar meñ haiñ ki nahīñ

kuchh khulā aur kuchh hai band kivāḌ

wo KHuda jaane ghar mein hain ki nahin

kuchh khula aur kuchh hai band kiwaD

barbād-e-vafā ho kar masjūd-e-jahāñ dil ho

aadhe meñ bane masjid aadhe meñ sanam-ḳhāna

barbaad-e-wafa ho kar masjud-e-jahan dil ho

aadhe mein bane masjid aadhe mein sanam-KHana

kuchh aur ban paḌī na savāl-e-visāl par

hairat se dekh kar vo mire muñh ko rah ga.e

kuchh aur ban paDi na sawal-e-visal par

hairat se dekh kar wo mere munh ko rah gae

be-vaj.h mohabbat se nahīñ bol rahe haiñ

vo bātoñ bātoñ meñ mujhe khol rahe haiñ

be-wajh mohabbat se nahin bol rahe hain

wo baaton hi baaton mein mujhe khol rahe hain

ai 'nūh' tauba ishq se kar thī aap ne

phir tāñk-jhāñk kyuuñ hai ye phir dekh-bhāl kyā

ai 'nuh' tauba ishq se kar li thi aap ne

phir tank-jhank kyun hai ye phir dekh-bhaal kya

dil meñ ghuT ghuT kar inheñ rahte zamāna ho gayā

merī fariyādeñ bhī ab āmāda-e-fariyād haiñ

dil mein ghuT ghuT kar inhen rahte zamana ho gaya

meri fariyaaden bhi ab aamada-e-fariyaad hain

barhaman us ke haiñ shaiḳh us ke haiñ rāhib us ke

dair us haram us hai kalīsā us

barhaman us ke hain shaiKH us ke hain rahib us ke

dair us ka haram us ka hai kalisa us ka

puurī na agar ho to koī chiiz nahīñ hai

nikle jo mire dil se to hasrat hai baḌī chiiz

puri na agar ho to koi chiz nahin hai

nikle jo mere dil se to hasrat hai baDi chiz

vo haath meñ talvār liye sar pe khaḌe haiñ

marne nahīñ detī mujhe marne ḳhushī aaj

wo hath mein talwar liye sar pe khaDe hain

marne nahin deti mujhe marne ki KHushi aaj

ishq meñ kuchh nazar nahīñ aayā

jis taraf dekhiye añdherā hai

ishq mein kuchh nazar nahin aaya

jis taraf dekhiye andhera hai

jo ahl-e-zauq haiñ vo lutf uThā lete haiñ chal phir kar

gulistāñ gulistāñ meñ bayābāñ bayābāñ meñ

jo ahl-e-zauq hain wo lutf uTha lete hain chal phir kar

gulistan ka gulistan mein bayaban ka bayaban mein

chor aisā muḳhbir aisā chāhiye

mujh ko dilbar patā dil se milā

chor aisa muKHbir aisa chahiye

mujh ko dilbar ka pata dil se mila

lailā hai na majnūñ hai na shīrīñ hai na farhād

ab rah ga.e haiñ āshiq o ma.ashūq meñ ham aap

laila hai na majnun hai na shirin hai na farhad

ab rah gae hain aashiq o mashuq mein hum aap

roz malte haiñ muñh par apne bhabhūt

ishq meñ ham ne le liyā bairāg

roz malte hain munh par apne bhabhut

ishq mein hum ne le liya bairag

vo ghar se chale raah meñ ruk ga.e

idhar aate aate kidhar jhuk ga.e

wo ghar se chale rah mein ruk gae

idhar aate aate kidhar jhuk gae

satyanās ho gayā dil

ishq ne ḳhuub ukhāḌ-pachhāḌ

satyanas ho gaya dil ka

ishq ne KHub ki ukhaD-pachhaD

nuuh baiThe haiñ chārpā.ī par

chārpā.ī pe nuuh baiThe haiñ

nuh baiThe hain chaarpai par

chaarpai pe nuh baiThe hain

tumhārī shoḳh-nazar ik jagah kabhī na rahī

na ye thamī na ye Thahrī na ye rukī na rahī

tumhaari shoKH-nazar ek jagah kabhi na rahi

na ye thami na ye Thahri na ye ruki na rahi

dil ke do hisse jo kar Daale the husn-o-ishq ne

ek sahrā ban gayā aur ek gulshan ho gayā

dil ke do hisse jo kar Dale the husn-o-ishq ne

ek sahra ban gaya aur ek gulshan ho gaya

na milo khul ke to chorī mulāqāt rahe

ham bulā.eñge tumheñ raat ga.e raat rahe

na milo khul ke to chori ki mulaqat rahe

hum bulaenge tumhein raat gae raat rahe

barsoñ rahe haiñ aap hamārī nigāh meñ

ye kyā kahā ki ham tumheñ pahchānte nahīñ

barson rahe hain aap hamari nigah mein

ye kya kaha ki hum tumhein pahchante nahin

dil jo de kar kisī kāfir ko pareshāñ ho jaa.e

āfiyat us hai is meñ ki musalmāñ ho jaa.e

dil jo de kar kisi kafir ko pareshan ho jae

aafiyat us ki hai is mein ki musalman ho jae

aap aa.e ban paḌī mere dil-e-nāshād

aap bigḌe ban ga.ī mere dil-e-nāshād par

aap aae ban paDi mere dil-e-nashad ki

aap bigDe ban gai mere dil-e-nashad par

ai dair-o-haram vaalo tum dil taraf dekho

ka.abe ye ka.aba hai but-ḳhāne but-ḳhāna

ai dair-o-haram walo tum dil ki taraf dekho

kabe ka ye kaba hai but-KHane ka but-KHana

saaqī jo dil se chāhe to aa.e vo zamāna

har shaḳhs ho sharābī har ghar sharāb-ḳhāna

saqi jo dil se chahe to aae wo zamana

har shaKHs ho sharabi har ghar sharab-KHana

hamāre dil se kyā armān sab ik saath nikleñge

ki qaidī muḳhtalif mī.ād ke hote haiñ zindāñ meñ

hamare dil se kya arman sab ek sath niklenge

ki qaidi muKHtalif miad ke hote hain zindan mein

sharmā ke bigaḌ ke muskurā kar

vo chhup rahe ik jhalak dikhā kar

sharma ke bigaD ke muskura kar

wo chhup rahe ek jhalak dikha kar

mausam-e-gul abhī nahīñ aayā

chal diye ghar meñ ham lagā kar aag

mausam-e-gul abhi nahin aaya

chal diye ghar mein hum laga kar aag

dikhā.e pāñch aalam ik payām-e-shauq ne mujh ko

ulajhnā rūThnā laḌnā bigaḌnā duur ho jaanā

dikhae panch aalam ek payam-e-shauq ne mujh ko

ulajhna ruThna laDna bigaDna dur ho jaana

is kam-sinī meñ ho unheñ merā ḳhayāl kyā

vo kai baras ke haiñ abhī sin kyā hai saal kyā

is kam-sini mein ho unhen mera KHayal kya

wo kai baras ke hain abhi sin kya hai sal kya

chāhiye thī sham.a is tārīk ghar ke vāste

ḳhāna-e-dil meñ charāġh-e-ishq raushan ho gayā

chahiye thi shama is tarik ghar ke waste

KHana-e-dil mein charagh-e-ishq raushan ho gaya

kambaḳht kabhī se guzarne nahīñ detī

jiine tamannā mujhe marne nahīñ detī

kambaKHt kabhi ji se guzarne nahin deti

jine ki tamanna mujhe marne nahin deti

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now