Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tab nahin sukun nahin dil nahin ab jigar nahin

Nooh Narvi

tab nahin sukun nahin dil nahin ab jigar nahin

Nooh Narvi

MORE BYNooh Narvi

    taab nahīñ sukūñ nahīñ dil nahīñ ab jigar nahīñ

    apnī nazar kidhar uThe koī idhar udhar nahīñ

    roz shab uThte baiThte un zabān par nahīñ

    koī nahīñ had nahīñ shaam nahīñ sahar nahīñ

    koī yahāñ se chal diyā raunaq-e-bām-o-dar nahīñ

    dekh rahā huuñ ghar ko maiñ ghar hai magar vo ghar nahīñ

    itnī ḳhabar to hai zarūr le ga.e dil vo chhīn kar

    kyā huā us phir ma.aal is mujhe ḳhabar nahīñ

    kyuuñ vo idhar udhar phire kyuuñ ye hudūd meñ rahe

    terī nazar to hai nazar merī nazar nazar nahīñ

    mujh se bigaḌ kar apne ghar jā.iye ḳhair jā.iye

    aap ne ye samajh liyā aah meñ kuchh asar nahīñ

    dair ko ham ghaTā.eñ kyuuñ kaabe ko ham baḌhā.eñ kyuuñ

    kyā hai ḳhudā ghar yahī kyā vo ḳhudā ghar nahīñ

    parde se bāhar aa.iye ruḳh se naqāb uThā.iye

    tāb-e-jamāl sake itnī mirī nazar nahīñ

    mujh ko ḳhayāl-e-roz-o-shab ḳhaak rahe mazār meñ

    aisī jagah huuñ jis jagah shaam nahīñ sahar nahīñ

    teġh kaho sināñ kaho qahr kaho balā kaho

    ahl-e-nazar raa.e meñ un nazar nazar nahīñ

    Dar ga.e ahl-e-ajnuman tiir jo aap chalā

    is ne kahā idhar nahīñ us ne kahā udhar nahīñ

    roz ke ġham ne is tarah ḳhūgar-e-zabt-e-ġham kiyā

    dard hamāre dil meñ hai shikva zabān par nahīñ

    pūchhte haiñ vo hāl-e-dil tūl-e-suḳhan se fā.eda

    sau ye ek baat hai kah duuñ mujhe ḳhabar nahīñ

    un meñ kuchh aur baat thī in meñ kuchh aur baat hai

    hazrat-e-'nūh' gumāñ hazrat-e-nūh par nahīñ

    tab nahin sukun nahin dil nahin ab jigar nahin

    apni nazar kidhar uThe koi idhar udhar nahin

    roz shab uThte baiThte un ki zaban par nahin

    koi nahin ki had nahin sham nahin sahar nahin

    koi yahan se chal diya raunaq-e-baam-o-dar nahin

    dekh raha hun ghar ko main ghar hai magar wo ghar nahin

    itni KHabar to hai zarur le gae dil wo chhin kar

    kya hua us ka phir maal is ki mujhe KHabar nahin

    kyun wo idhar udhar phire kyun ye hudud mein rahe

    teri nazar to hai nazar meri nazar nazar nahin

    mujh se bigaD kar apne ghar jaiye KHair jaiye

    aap ne ye samajh liya aah mein kuchh asar nahin

    dair ko hum ghaTaen kyun kabe ko hum baDhaen kyun

    kya hai KHuda ka ghar yahi kya wo KHuda ka ghar nahin

    parde se bahar aaiye ruKH se naqab uThaiye

    tab-e-jamal la sake itni meri nazar nahin

    mujh ko KHayal-e-roz-o-shab KHak rahe mazar mein

    aisi jagah hun jis jagah sham nahin sahar nahin

    tegh kaho sinan kaho qahr kaho bala kaho

    ahl-e-nazar ki rae mein un ki nazar nazar nahin

    Dar gae ahl-e-ajnuman tir jo aap ka chala

    is ne kaha idhar nahin us ne kaha udhar nahin

    roz ke gham ne is tarah KHugar-e-zabt-e-gham kiya

    dard hamare dil mein hai shikwa zaban par nahin

    puchhte hain wo haal-e-dil tul-e-suKHan se faeda

    sau ki ye ek baat hai kah dun mujhe KHabar nahin

    un mein kuchh aur baat thi in mein kuchh aur baat hai

    hazrat-e-'nuh' ka guman hazrat-e-nuh par nahin

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now