Sher of Junaid Hazin Lari
ġham de gayā nashāt-e-shanāsā.ī le gayā
vo apne saath apnī masīhā.ī le gayā
gham de gaya nashat-e-shanasai le gaya
wo apne sath apni masihai le gaya
ġhairoñ kī shikasta hālat par hañsnā to hamārā sheva thā
lekin hue ham āzurda bahut jab apne ghar kī baat chalī
ghairon ki shikasta haalat par hansna to hamara shewa tha
lekin hue hum aazurda bahut jab apne ghar ki baat chali
udāsiyāñ haiñ jo din meñ to shab meñ tanhā.ī
basā ke dekh liyā shahr-e-ārzū maiñ ne
udasiyan hain jo din mein to shab mein tanhai
basa ke dekh liya shahr-e-arzu main ne
dekhā nahīñ vo chāñd sā chehrā ka.ī din se
tārīk nazar aatī hai duniyā ka.ī din se
dekha nahin wo chand sa chehra kai din se
tarik nazar aati hai duniya kai din se
vo sādgī meñ bhī hai ajab dilkashī liye
is vāste ham us kī tamannā meñ jī liye
wo sadgi mein bhi hai ajab dilkashi liye
is waste hum us ki tamanna mein ji liye
tirī talāsh meñ nikle to itnī duur ga.e
ki ham se tai na hue fāsle judā.ī ke
teri talash mein nikle to itni dur gae
ki hum se tai na hue fasle judai ke
kabhī is raah se guzre vo shāyad
galī ke moḌ par tanhā khaḌā huuñ
kabhi is rah se guzre wo shayad
gali ke moD par tanha khaDa hun
kaliyoñ meñ tāzgī hai na phūloñ meñ baas hai
tere baġhair saarā gulistāñ udaas hai
kaliyon mein tazgi hai na phulon mein bas hai
tere baghair sara gulistan udas hai
usī ko dasht-e-ḳhizāñ ne kiyā bahut pāmāl
jo phuul sab se hasīñ mausam-e-bahār meñ thā
usi ko dasht-e-KHizan ne kiya bahut pamal
jo phul sab se hasin mausam-e-bahaar mein tha
ajab bahār dikhā.ī lahū ke chhīñToñ ne
ḳhizāñ kā rañg bhī rañg-e-bahār jaisā thā
ajab bahaar dikhai lahu ke chhinTon ne
KHizan ka rang bhi rang-e-bahaar jaisa tha
rukī rukī sī hai barsāt ḳhushk hai sāvan
ye aur baat ki mausam yahī numū kā hai
ruki ruki si hai barsat KHushk hai sawan
ye aur baat ki mausam yahi numu ka hai
ik sham-e-ārzū kī haqīqat hī kyā magar
tūfāñ meñ ham charāġh jalā.e hue to haiñ
ek sham-e-arzu ki haqiqat hi kya magar
tufan mein hum charagh jalae hue to hain
ishq hai jī kā ziyāñ ishq meñ rakkhā kyā hai
dil-e-barbād batā terī tamannā kyā hai
ishq hai ji ka ziyan ishq mein rakkha kya hai
dil-e-barbaad bata teri tamanna kya hai
qatra na ho to bahr na aa.e vajūd meñ
paanī kī ek buuñd samundar se kam nahīñ
qatra na ho to bahr na aae wajud mein
pani ki ek bund samundar se kam nahin
-
Tag : Motivational
duur sāhil se koī shoḳh ishārā bhī nahīñ
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā bhī nahīñ
dur sahil se koi shoKH ishaara bhi nahin
Dubne wale ko tinke ka sahaara bhi nahin