Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Imdad Imam Asar's Photo'

Imdad Imam Asar

1849 - 1933 | Patna, India

Famous for his trend setting book on criticism, 'Kaashif-ul-Haqaaiq'.

Famous for his trend setting book on criticism, 'Kaashif-ul-Haqaaiq'.

Sher of Imdad Imam Asar

2.5K
Favorite

SORT BY

gulshan meñ kaun bulbul-e-nālāñ ko de panāh

gulchīñ o bāġhbāñ bhī haiñ sayyād taraf

gulshan mein kaun bulbul-e-nalan ko de panah

gulchin o baghban bhi hain sayyaad ki taraf

ab jahāñ par hai shaiḳh masjid

pahle us sharāb-ḳhāna thā

ab jahan par hai shaiKH ki masjid

pahle us ja sharab-KHana tha

afsos umr kaT ga.ī rañj-o-malāl meñ

dekhā na ḳhvāb meñ bhī jo kuchh thā ḳhayāl meñ

afsos umr kaT gai ranj-o-malal mein

dekha na KHwab mein bhi jo kuchh tha KHayal mein

dil hālat se ḳhabar detī hai

'asar' āshufta-bayānī merī

dil ki haalat se KHabar deti hai

'asar' aashufta-bayani meri

us taraf uThte nahīñ haath jidhar sab kuchh hai

us taraf dauḌte haiñ paañv jidhar kuchh bhī nahīñ

us taraf uThte nahin hath jidhar sab kuchh hai

us taraf dauDte hain panw jidhar kuchh bhi nahin

taḌap taḌap ke tamannā meñ karvaTeñ badlīñ

na paayā dil ne hamāre qarār saarī raat

taDap taDap ke tamanna mein karwaTen badlin

na paya dil ne hamare qarar sari raat

dil se kyā pūchhtā hai zulf-e-girah-gīr se pūchh

apne dīvāne ahvāl zanjīr se pūchh

dil se kya puchhta hai zulf-e-girah-gir se puchh

apne diwane ka ahwal tu zanjir se puchh

kartā hai ai 'asar' dil-e-ḳhūñ-gashta gila

āshiq vo kyā ki ḳhasta-e-teġh-e-jafā na ho

karta hai ai 'asar' dil-e-KHun-gashta ka gila

aashiq wo kya ki KHasta-e-tegh-e-jafa na ho

ḳhūb-o-zisht-e-jahāñ farq na pūchh

maut jab aa.ī sab barābar thā

KHub-o-zisht-e-jahan ka farq na puchh

maut jab aai sab barabar tha

rahā hai dil musībat ke maze

aa.e lab par shikva-e-bedād kyā

pa raha hai dil musibat ke maze

aae lab par shikwa-e-bedad kya

jab nahīñ kuchh e'tibār-e-zindagī

is jahāñ shaad kyā nāshād kyā

jab nahin kuchh e'tibar-e-zindagi

is jahan ka shad kya nashad kya

ulTī kyuuñ paḌtī hai tadbīr ye ham kyā jāneñ

kaun ulaT detā hai is raaz ko tadbīr se pūchh

ulTi kyun paDti hai tadbir ye hum kya jaanen

kaun ulaT deta hai is raaz ko tadbir se puchh

tumhāre āshiqoñ meñ be-qarārī kyā phailī hai

jidhar dekho jigar thāme hue do-chār baiThe haiñ

tumhaare aashiqon mein be-qarari kya hi phaili hai

jidhar dekho jigar thame hue do-chaar baiThe hain

kaisā aanā kaisā jaanā mere ghar kyā aaoge

ġhairoñ ke ghar jaane se tum fursat kis din paate ho

kaisa aana kaisa jaana mere ghar kya aaoge

ghairon ke ghar jaane se tum fursat kis din pate ho

hasīnoñ jafā.eñ bhī talavvun se nahīñ ḳhālī

sitam ke ba.ad karte haiñ karam aisā bhī hotā hai

hasinon ki jafaen bhi talawwun se nahin KHali

sitam ke baad karte hain karam aisa bhi hota hai

dil na dete use to kyā karte

ai 'asar' dukh hameñ uThānā thā

dil na dete use to kya karte

ai 'asar' dukh hamein uThana tha

ibādat ḳhudā ba-ummīd-e-hūr

magar tujh ko zāhid hayā kuchh nahīñ

you pray to God, hoping for virgins in paradise

yet no speck of shame can I fathom in your eyes

ibaadat KHuda ki ba-ummid-e-hur

magar tujh ko zahid haya kuchh nahin

you pray to God, hoping for virgins in paradise

yet no speck of shame can I fathom in your eyes

dostī tum ne dushman se ajab tum dost ho

maiñ tumhārī dostī meñ mehrbāñ maarā gayā

dosti ki tum ne dushman se ajab tum dost ho

main tumhaari dosti mein mehrban mara gaya

mar kar uTTheñge tere dar se ham

aa ke jab baiThe to phir uTh jaa.eñ kyā

mar hi kar uTThenge tere dar se hum

aa ke jab baiThe to phir uTh jaen kya

ḳhudā jaane 'asar' ko kyā huā hai

rahā kartā hai chup do do pahar tak

KHuda jaane 'asar' ko kya hua hai

raha karta hai chup do do pahar tak

saath duniyā nahīñ tālib-e-duniyā dete

apne kuttoñ ko ye murdār liye phirtī hai

sath duniya ka nahin talib-e-duniya dete

apne kutton ko ye murdar liye phirti hai

kuchh samajh kar us mah-e-ḳhūbī se thī dostī

ye na samjhe the ki dushman āsmāñ ho jā.egā

kuchh samajh kar us mah-e-KHubi se ki thi dosti

ye na samjhe the ki dushman aasman ho jaega

banāte haiñ hazāroñ zaḳhm-e-ḳhandāñ ḳhanjar-e-ġham se

dil-e-nāshād ko ham is tarah pur-shād karte haiñ

banate hain hazaron zaKHm-e-KHandan KHanjar-e-gham se

dil-e-nashad ko hum is tarah pur-shad karte hain

mushkil sāmnā ho to himmat na hāriye

himmat hai shart sāhib-e-himmat se kyā na ho

mushkil ka samna ho to himmat na haariye

himmat hai shart sahib-e-himmat se kya na ho

aa.ina dekh ke farmāte haiñ

kis ġhazab hai javānī merī

aaina dekh ke farmate hain

kis ghazab ki hai jawani meri

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now