Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Athar Nafees's Photo'

Athar Nafees

1933 - 1980 | Karachi, Pakistan

Prominent Pakistani exponent of new Urdu ghazal, famous for his ghazhal 'Wo ishq jo hum se rooth gaya' sung by many singers.

Prominent Pakistani exponent of new Urdu ghazal, famous for his ghazhal 'Wo ishq jo hum se rooth gaya' sung by many singers.

Sher of Athar Nafees

7.7K
Favorite

SORT BY

kabhī saaya hai kabhī dhuup muqaddar merā

hotā rahtā hai yuuñ qarz barābar merā

kabhi saya hai kabhi dhup muqaddar mera

hota rahta hai yun hi qarz barabar mera

darvāza khulā hai ki koī lauT na jaa.e

aur us ke liye jo kabhī aayā na gayā ho

darwaza khula hai ki koi lauT na jae

aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho

hamāre ishq meñ rusvā hue tum

magar ham to tamāshā ho ga.e haiñ

hamare ishq mein ruswa hue tum

magar hum to tamasha ho gae hain

ai mujh ko fareb dene vaale

maiñ tujh pe yaqīn kar chukā huuñ

ai mujh ko fareb dene wale

main tujh pe yaqin kar chuka hun

ik shakl hameñ phir bhaa.ī hai ik sūrat dil meñ samā.ī hai

ham aaj bahut sarshār sahī par aglā moḌ judā.ī hai

ek shakl hamein phir bhai hai ek surat dil mein samai hai

hum aaj bahut sarshaar sahi par agla moD judai hai

ḳhvāboñ ke ufuq par tirā chehra ho hamesha

aur maiñ usī chehre se na.e ḳhvāb sajā.ūñ

KHwabon ke ufuq par tera chehra ho hamesha

aur main usi chehre se nae KHwab sajaun

ye dhuup to har ruḳh se pareshān karegī

kyuuñ DhūñD rahe ho kisī dīvār saaya

ye dhup to har ruKH se pareshan karegi

kyun DhunD rahe ho kisi diwar ka saya

bahut chhoTe haiñ mujh se mere dushman

jo merā dost hai mujh se baḌā hai

bahut chhoTe hain mujh se mere dushman

jo mera dost hai mujh se baDa hai

itne din ke baad aayā hai aaj

sochtā huuñ kis tarah tujh se milūñ

itne din ke baad tu aaya hai aaj

sochta hun kis tarah tujh se milun

lamhoñ ke azaab sah rahā huuñ

maiñ apne vajūd sazā huuñ

lamhon ke azab sah raha hun

main apne wajud ki saza hun

ik aag ġham-e-tanhā.ī jo saare badan meñ phail ga.ī

jab jism saarā jaltā ho phir dāman-e-dil ko bachā.eñ kyā

ek aag gham-e-tanhai ki jo sare badan mein phail gai

jab jism hi sara jalta ho phir daman-e-dil ko bachaen kya

'at.har' tum ne ishq kiyā kuchh tum bhī kaho kyā haal huā

koī nayā ehsās milā sab jaisā ahvāl huā

'athar' tum ne ishq kiya kuchh tum bhi kaho kya haal hua

koi naya ehsas mila ya sab jaisa ahwal hua

bā-vafā thā to mujhe pūchhne vaale bhī na the

be-vafā huuñ to huā naam bhī ghar ghar merā

ba-wafa tha to mujhe puchhne wale bhi na the

be-wafa hun to hua nam bhi ghar ghar mera

maiñ tere qarīb aate aate

kuchh aur bhī duur ho gayā huuñ

main tere qarib aate aate

kuchh aur bhi dur ho gaya hun

na sakūñ maiñ jis ke baġhair

akasr yaad na aayā vo

ji na sakun main jis ke baghair

akasr yaad na aaya wo

kisī nā-ḳhvāñda būḌhe tarah ḳhat us paḌhtā huuñ

ki sau sau baar ik ik lafz se uñglī guzartī hai

kisi na-KHwanda buDhe ki tarah KHat us ka paDhta hun

ki sau sau bar ek ek lafz se ungli guzarti hai

vo ishq jo ham se ruuTh gayā ab us haal batā.eñ kyā

koī mehr nahīñ koī qahr nahīñ phir sachchā sher sunā.eñ kyā

wo ishq jo hum se ruTh gaya ab us ka haal bataen kya

koi mehr nahin koi qahr nahin phir sachcha sher sunaen kya

us ne mirī nigāh ke saare suḳhan samajh liye

phir bhī mirī nigāh meñ ek savāl hai nayā

us ne meri nigah ke sare suKHan samajh liye

phir bhi meri nigah mein ek sawal hai naya

na manzil huuñ na manzil-āshnā huuñ

misāl-e-barg uḌtā phir rahā huuñ

na manzil hun na manzil-ashna hun

misal-e-barg uDta phir raha hun

vo daur qarīb aa rahā hai

jab dād-e-hunar na mil sakegī

wo daur qarib aa raha hai

jab dad-e-hunar na mil sakegi

sochte aur jāgte sāñsoñ ik dariyā huuñ maiñ

apne gum-gashta kināroñ ke liye bahtā huuñ maiñ

TRANSLATION

I am a river of breaths, thoughtful and awake,

I flow in search of my lost banks, for its sake.

Sagar Akbarabadi

sochte aur jagte sanson ka ek dariya hun main

apne gum-gashta kinaron ke liye bahta hun main

TRANSLATION

I am a river of breaths, thoughtful and awake,

I flow in search of my lost banks, for its sake.

Sagar Akbarabadi

Recitation

Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

Register for free
Speak Now