saya mera saya wo
saayā merā saayā vo
mujh meñ aan samāyā vo
din nikal aayā āñgan meñ
raat ga.e jab aayā vo
mere lahū kī gardish meñ
chupke se dar aayā vo
merī galī meñ raat ga.e
lahrātā ik saayā vo
ġhuncha sā mire saath gayā
sub.h talak khil aayā vo
merī zinda sāñsoñ meñ
kaisā aan samāyā vo
qurb kī halkī bārish meñ
qaus-e-quzah ban aayā vo
mujh se huā bebāk magar
phūloñ se sharmāyā vo
hijr ke tapte sahrā meñ
merī tarah kumhlāyā vo
jī na sakūñ maiñ jis ke baġhair
aksar yaad na aayā vo
'nāsir' sachchā shā'ir thā
aaj bahut yaad aayā vo
kaise kaise ruup liye
shahr-e-ġhazal meñ aayā vo
saya mera saya wo
mujh mein aan samaya wo
din nikal aaya aangan mein
raat gae jab aaya wo
mere lahu ki gardish mein
chupke se dar aaya wo
meri gali mein raat gae
lahraata ek saya wo
ghuncha sa mere sath gaya
subh talak khil aaya wo
meri zinda sanson mein
kaisa aan samaya wo
qurb ki halki barish mein
qaus-e-quzah ban aaya wo
mujh se hua bebak magar
phulon se sharmaya wo
hijr ke tapte sahra mein
meri tarah kumhlaya wo
ji na sakun main jis ke baghair
aksar yaad na aaya wo
'nasir' sachcha sha'ir tha
aaj bahut yaad aaya wo
kaise kaise rup liye
shahr-e-ghazal mein aaya wo
- Book : siip-volume-35 (Pg. 214)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.