Murtaza Barlas
Ghazal 39
Sher-o-Shayari 6
mujhe kī ga.ī hai ye peshkash ki sazā meñ hoñgī riyāyateñ
jo qusūr maiñ ne kiyā nahīñ vo qubūl kar luuñ dabāo meñ
mujhe ki gai hai ye peshkash ki saza mein hongi riyayaten
jo qusur main ne kiya nahin wo qubul kar lun dabao mein
- Add to favorites
-
Share this
dushman-e-jāñ hī sahī dost samajhtā huuñ use
bad-duā jis kī mujhe ban ke duā lagtī hai
dushman-e-jaan hi sahi dost samajhta hun use
bad-dua jis ki mujhe ban ke dua lagti hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
naam is kā āmariyyat ho ki ho jamhūriyat
munsalik fir.auniyat masnad se tab thī ab bhī hai
nam is ka aamariyyat ho ki ho jamhuriyat
munsalik firauniyat masnad se tab thi ab bhi hai
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
maanā ki terā mujh se koī vāsta nahīñ
milne ke ba.ad mujh se zarā aa.ina bhī dekh
mana ki tera mujh se koi wasta nahin
milne ke baad mujh se zara aaina bhi dekh
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
chehre kī chāñdnī pe na itnā bhī maan kar
vaqt-e-sahar tū rañg kabhī chāñd kā bhī dekh
chehre ki chandni pe na itna bhi man kar
waqt-e-sahar tu rang kabhi chand ka bhi dekh
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal