Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek barg-e-sabz shaKH se kar ke juda bhi dekh

Murtaza Barlas

ek barg-e-sabz shaKH se kar ke juda bhi dekh

Murtaza Barlas

ik barg-e-sabz shāḳh se kar ke judā bhī dekh

maiñ phir bhī rahā huuñ mirā hausla bhī dekh

zarre shakl meñ mujhe simTā huā na jaan

sahrā ke ruup meñ mujhe phailā huā bhī dekh

ne to musht-e-ḳhāk samajh kar uḌā diyā

ab mujh ko apnī raah meñ bikhrā huā bhī dekh

maanā ki terā mujh se koī vāsta nahīñ

milne ke ba.ad mujh se zarā aa.ina bhī dekh

tere liye to sirf ishāroñ khel thā

mujh ko jo pesh aayā hai vo hādsa bhī dekh

auroñ ke paas ke mirī dāstāñ na pūchh

jo kuchh hai mere chehre pe likkhā huā bhī dekh

hamvār rāstoñ pe mirā saath chhoḌ kar

aage nikal gayā thā to ab rāsta bhī dekh

chehre chāñdnī pe na itnā bhī maan kar

vaqt-e-sahar to rañg kabhī chāñd bhī dekh

ek barg-e-sabz shaKH se kar ke juda bhi dekh

main phir bhi ji raha hun mera hausla bhi dekh

zarre ki shakl mein mujhe simTa hua na jaan

sahra ke rup mein mujhe phaila hua bhi dekh

tu ne to musht-e-KHak samajh kar uDa diya

ab mujh ko apni rah mein bikhra hua bhi dekh

mana ki tera mujh se koi wasta nahin

milne ke baad mujh se zara aaina bhi dekh

tere liye to sirf ishaaron ka khel tha

mujh ko jo pesh aaya hai wo hadsa bhi dekh

auron ke pas ja ke meri dastan na puchh

jo kuchh hai mere chehre pe likkha hua bhi dekh

hamwar raston pe mera sath chhoD kar

aage nikal gaya tha to ab rasta bhi dekh

chehre ki chandni pe na itna bhi man kar

waqt-e-sahar to rang kabhi chand ka bhi dekh

Source :
  • Book : Range-e-Gazal (Pg. 334)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now