Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

nahr jis lashkar ki nigrani mein tab thi ab bhi hai

Murtaza Barlas

nahr jis lashkar ki nigrani mein tab thi ab bhi hai

Murtaza Barlas

nahr jis lashkar nigrānī meñ tab thī ab bhī hai

ḳheme vāloñ jo bastī tishna-lab thī ab bhī hai

uḌ rahe haiñ vaqt raftār se maġhrib samt

vaqt-e-āġhāz-e-safar jo tiira shab thī ab bhī hai

vaqt jaise ek saa.at pe aa ke ruk gayā

pahle jis shiddat se jo dil meñ talab thī ab bhī hai

ham shikāyat aañkh palkoñ se karte kis tarah

dāstān-e-zulm varna yaad sab thī ab bhī hai

husn meñ fitrī hijābāna ravish ab ho na ho

ishq ke maslak meñ jo hadd-e-adab thī ab bhī hai

roz o shab badleñge apne kis tarah aa.e yaqīñ

sūrat-e-hālāt jo pahle ajab thī ab bhī hai

haiñ baqā ke vasvase meñ ibtidā se mubtalā

dil meñ ik tashvīsh jo be-sabab thī ab bhī hai

naam is āmariyyat ho ki ho jamhūriyat

munsalik fir.auniyat masnad se tab thī ab bhī hai

nahr jis lashkar ki nigrani mein tab thi ab bhi hai

KHeme walon ki jo basti tishna-lab thi ab bhi hai

uD rahe hain waqt ki raftar se maghrib ki samt

waqt-e-aghaz-e-safar jo tera shab thi ab bhi hai

waqt jaise ek hi saat pe aa ke ruk gaya

pahle jis shiddat se jo dil mein talab thi ab bhi hai

hum shikayat aankh ki palkon se karte kis tarah

dastan-e-zulm warna yaad sab thi ab bhi hai

husn mein fitri hijabana rawish ab ho na ho

ishq ke maslak mein jo hadd-e-adab thi ab bhi hai

roz o shab badlenge apne kis tarah aae yaqin

surat-e-haalat jo pahle ajab thi ab bhi hai

hain baqa ke waswase mein ibtida se mubtala

dil mein ek tashwish si jo be-sabab thi ab bhi hai

nam is ka aamariyyat ho ki ho jamhuriyat

munsalik firauniyat masnad se tab thi ab bhi hai

Source :
  • Book : kulliyat -e-Murtaza Barlas (Pg. 299)
  • Author : Murtaza Barlas
  • Publication : Alhamd Publication Lahore (2011)
  • Edition : 2011
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now