Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER
Ghulam Murtaza Rahi's Photo'

Ghulam Murtaza Rahi

1937 | Fatehpur, India

Sher of Ghulam Murtaza Rahi

3.7K
Favorite

SORT BY

ab aur der na kar hashr barpā karne meñ

mirī nazar tire dīdār ko tarastī hai

ab aur der na kar hashr barpa karne mein

meri nazar tere didar ko tarasti hai

chale the jis taraf vo nishān ḳhatm huā

safar adhūrā rahā āsmān ḳhatm huā

chale the jis ki taraf wo nishan KHatm hua

safar adhura raha aasman KHatm hua

kaisā insāñ taras rahā hai jiine ko

kaise sāhil par ik machhlī zinda hai

kaisa insan taras raha hai jine ko

kaise sahil par ek machhli zinda hai

har ek saañs mujhe khīñchtī hai us taraf

ye kaun mere liye be-qarār rahtā hai

har ek sans mujhe khinchti hai us ki taraf

ye kaun mere liye be-qarar rahta hai

aatā thā jis ko dekh ke tasvīr ḳhayāl

ab to vo kiil bhī mirī dīvār meñ nahīñ

aata tha jis ko dekh ke taswir ka KHayal

ab to wo kil bhi meri diwar mein nahin

koī ik zā.iqa nahīñ miltā

ġham meñ shāmil ḳhushī rahtī hai

koi ek zaiqa nahin milta

gham mein shamil KHushi si rahti hai

rakh diyā vaqt ne ā.īna banā kar mujh ko

rū-ba-rū hote hue bhī maiñ farāmosh rahā

rakh diya waqt ne aaina bana kar mujh ko

ru-ba-ru hote hue bhi main faramosh raha

apnī tasvīr ke ik ruḳh ko nihāñ rakhtā hai

ye charāġh apnā dhuāñ jaane kahāñ rakhtā hai

apni taswir ke ek ruKH ko nihan rakhta hai

ye charagh apna dhuan jaane kahan rakhta hai

kisī ne bhej kar kāġhaz kashtī

bulāyā hai samundar paar mujh ko

kisi ne bhej kar kaghaz ki kashti

bulaya hai samundar par mujh ko

dil ne tamannā thī jis barsoñ tak

aise zaḳhm ko achchhā kar ke baiTh ga.e

dil ne tamanna ki thi jis ki barson tak

aise zaKHm ko achchha kar ke baiTh gae

maiñ tire vāste ā.īna thā

apnī sūrat ko taras ab kyā hai

main tere waste aaina tha

apni surat ko taras ab kya hai

yāroñ ne merī raah meñ dīvār khīñch kar

mash.hūr kar diyā ki mujhe saaya chāhiye

yaron ne meri rah mein diwar khinch kar

mashhur kar diya ki mujhe saya chahiye

merī pahchān batāne savāl aayā jab

ā.inoñ ne bhī haqīqat se mukarnā chāhā

meri pahchan batane ka sawal aaya jab

aainon ne bhi haqiqat se mukarna chaha

pahle us ne mujhe chunvā diyā dīvār ke saath

phir imārat ko mire naam se mausūm kiyā

pahle us ne mujhe chunwa diya diwar ke sath

phir imarat ko mere nam se mausum kiya

na jaane qaid meñ huuñ hifāzat meñ kisī

khiñchī hai har taraf ik chaar dīvārī koī

na jaane qaid mein hun ya hifazat mein kisi ki

khinchi hai har taraf ek chaar diwari si koi

ye daur hai jo tumhārā rahegā ye bhī nahīñ

koī zamāna thā merā guzar gayā vo bhī

ye daur hai jo tumhaara rahega ye bhi nahin

koi zamana tha mera guzar gaya wo bhi

zabān apnī badalne pe koī raazī nahīñ

vahī javāb hai us vahī savāl mirā

zaban apni badalne pe koi raazi nahin

wahi jawab hai us ka wahi sawal mera

dūsrā koī tamāsha na thā zālim ke paas

vahī talvār thī us vahī sar thā merā

dusra koi tamasha na tha zalim ke pas

wahi talwar thi us ki wahi sar tha mera

garmiyoñ bhar mire kamre meñ paḌā rahtā hai

dekh kar ruḳh mujhe sūraj ye ghar lenā thā

garmiyon bhar mere kamre mein paDa rahta hai

dekh kar ruKH mujhe suraj ka ye ghar lena tha

husn-e-amal meñ barkateñ hotī haiñ be-shumār

patthar bhī toḌiye to salīqe se toḌiye

husn-e-amal mein barkaten hoti hain be-shumar

patthar bhi toDiye to saliqe se toDiye

jo us taraf se ishāra kabhī kiyā us ne

maiñ Duub jā.ūñgā dariyā ko paar karte hue

jo us taraf se ishaara kabhi kiya us ne

main Dub jaunga dariya ko par karte hue

kitnā bhī rañg-o-nasl meñ rakhte hoñ iḳhtilāf

phir bhī khaḌe hue haiñ shajar ik qatār meñ

kitna bhi rang-o-nasl mein rakhte hon iKHtilaf

phir bhi khaDe hue hain shajar ek qatar mein

us ne jab darvāza mujh par band kiyā

mujh par us mahfil ke ādāb khule

us ne jab darwaza mujh par band kiya

mujh par us ki mahfil ke aadab khule

ek hastī mirī anāsir chaar

har taraf se ghirī rahtī hai

ek hasti meri anasir chaar

har taraf se ghiri si rahti hai

sāñsoñ ke aane jaane se lagtā hai

ik pal jiitā huuñ to ik pal martā huuñ

sanson ke aane jaane se lagta hai

ek pal jita hun to ek pal marta hun

chāhtā hai vo ki dariyā suukh jaa.e

ret bevpār karnā chāhtā hai

chahta hai wo ki dariya sukh jae

ret ka bewpar karna chahta hai

ye log kis taraf dekhte haiñ hasrat se

vo kaun hai jo samundar ke paar rahtā hai

ye log kis ki taraf dekhte hain hasrat se

wo kaun hai jo samundar ke par rahta hai

dekhne sunñe maza jab hai

kuchh haqīqat ho kuchh fasāna ho

dekhne sunne ka maza jab hai

kuchh haqiqat ho kuchh fasana ho

pahle chiñgārī uḌā laa.ī havā

le ke ab raakh uḌī jaatī hai

pahle chingari uDa lai hawa

le ke ab rakh uDi jati hai

rakhtā nahīñ hai dasht sarokār aab se

bahlā.e jaate haiñ yahāñ pyāse sarāb se

rakhta nahin hai dasht sarokar aab se

bahlae jate hain yahan pyase sarab se

apnī qismat bulandī pe sitāra dekhūñ

zulmat-e-shab meñ yahī ek nazāra dekhūñ

apni qismat ka bulandi pe sitara dekhun

zulmat-e-shab mein yahi ek nazara dekhun

ab jo āzād hue haiñ to ḳhayāl aayā hai

ki hameñ qaid bhalī thī to sazā kaisī thī

ab jo aazad hue hain to KHayal aaya hai

ki hamein qaid bhali thi to saza kaisi thi

baat baḌhtī ga.ī aage mirī nādānī se

kitnā arzāñ huā maiñ apnī farāvānī se

TRANSLATION

The issue kept on escalating due to my innocence,

How cheap did I become due to my own abundance.

Sagar Akbarabadi

baat baDhti gai aage meri nadani se

kitna arzan hua main apni farawani se

TRANSLATION

The issue kept on escalating due to my innocence,

How cheap did I become due to my own abundance.

Sagar Akbarabadi

jhāñktā bhī nahīñ sūraj mire ghar ke andar

band bhī koī darīcha nahīñ rahne detā

jhankta bhi nahin suraj mere ghar ke andar

band bhi koi daricha nahin rahne deta

jaise koī kaaT rahā hai jaal mirā

jaise uḌne vaalā koī parinda hai

jaise koi kaT raha hai jal mera

jaise uDne wala koi parinda hai

merī kashtī ko Dubo kar chain se baiThe na

ai mire dariyā! hamesha tujh meñ tuġhyānī rahe

meri kashti ko Dubo kar chain se baiThe na tu

ai mere dariya! hamesha tujh mein tughyani rahe

kisī raah meñ aane ye bhī sūrat hai

ki saaya ke liye dīvār ho liyā jaa.e

kisi ki rah mein aane ki ye bhi surat hai

ki saya ke liye diwar ho liya jae

yūñhī buniyād darja nahīñ miltā kisī ko

khaḌī jā.egī mujh par abhī dīvār koī

yunhi buniyaad ka darja nahin milta kisi ko

khaDi ki jaegi mujh par abhi diwar koi

ek din dariyā makānoñ meñ ghusā

aur dīvāreñ uThā kar le gayā

ek din dariya makanon mein ghusa

aur diwaren uTha kar le gaya

kuchh aise dekhtā hai vo mujhe ki lagtā hai

dikhā rahā hai mujhe merā aa.inā kuchh aur

kuchh aise dekhta hai wo mujhe ki lagta hai

dikha raha hai mujhe mera aaina kuchh aur

rahegā ā.īne tarah aab par qaa.em

nadī meñ Dūbne vaalā nahīñ kināra mirā

rahega aaine ki tarah aab par qaem

nadi mein Dubne wala nahin kinara mera

purkhoñ se chalī aatī hai ye naql-e-makānī

ab mujh se bhī ḳhālī mirā ghar hone lagā hai

purkhon se chali aati hai ye naql-e-makani

ab mujh se bhi KHali mera ghar hone laga hai

ek ik lafz se ma.anī kiran phūTtī hai

raushnī meñ paḌhā jaatā hai sahīfa merā

ek ek lafz se mani ki kiran phuTti hai

raushni mein paDha jata hai sahifa mera

kahāñ tak us masīhā.ī shumār karūñ

jahāñ hai zaḳhm vahīñ indimāl hai us

kahan tak us ki masihai ka shumar karun

jahan hai zaKHm wahin indimal hai us ka

ham-sarī un jo karnā chāhe

us ko suulī par chaḌhā dete haiñ

ham-sari un ki jo karna chahe

us ko suli par chaDha dete hain

sahrā jañgal sāgar parbat

in se rasta miltā hai

sahra jangal sagar parbat

in se hi rasta milta hai

ai mire pāyāb dariyā tujh ko le kar kyā karūñ

nāḳhudā patvār kashtī bādbāñ rakhte hue

ai mere payab dariya tujh ko le kar kya karun

naKHuda patwar kashti baadban rakhte hue

ab mire gird Thahartī nahīñ dīvār koī

bandisheñ haar ga.iiñ be-sar-o-sāmānī se

ab mere gird Thaharti nahin diwar koi

bandishen haar gain be-sar-o-samani se

hisār-e-jism mirā toḌ-phoḌ Dālegā

zarūr koī mujhe qaid se chhuḌā legā

hisar-e-jism mera toD-phoD Dalega

zarur koi mujhe qaid se chhuDa lega

Recitation

Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

Get Tickets
Speak Now