Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chhat pe badli jhuki si rahti hai

Ghulam Murtaza Rahi

chhat pe badli jhuki si rahti hai

Ghulam Murtaza Rahi

chhat pe badlī jhukī rahtī hai

kab se bārish thamī rahtī hai

koī shab dhuup kaifiyyat

koī din chāñdnī rahtī hai

ek hastī mirī anāsir chaar

har taraf se ghirī rahtī hai

kaise jī-bhar ke dekhiye us ko

dekhne meñ kamī rahtī hai

koī ik zā.iqa nahīñ miltā

ġham meñ shāmil ḳhushī rahtī hai

jab se maa.il hue haiñ mere qadam

raah mujh se khiñchī rahtī hai

ik na ik shaġhl chāhiye us ko

mujh meñ dīvāngī rahtī hai

tiir añdhere meñ jab chalātā huuñ

dhyān meñ raushnī rahtī hai

shāḳh-e-ummīd ko ḳhizāñ na bahār

ye sab din harī rahtī hai

ek ḳhitte ke bojh se raahī

saarī duniyā dabī rahtī hai

chhat pe badli jhuki si rahti hai

kab se barish thami si rahti hai

koi shab dhup ki si kaifiyyat

koi din chandni si rahti hai

ek hasti meri anasir chaar

har taraf se ghiri si rahti hai

kaise ji-bhar ke dekhiye us ko

dekhne mein kami si rahti hai

koi ek zaiqa nahin milta

gham mein shamil KHushi si rahti hai

jab se mail hue hain mere qadam

rah mujh se khinchi si rahti hai

ek na ek shaghl chahiye us ko

mujh mein diwangi si rahti hai

tir andhere mein jab chalata hun

dhyan mein raushni si rahti hai

shaKH-e-ummid ko KHizan na bahaar

ye sab din hari si rahti hai

ek KHitte ke bojh se rahi

sari duniya dabi si rahti hai

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now