Aziz Bano Darab Wafa
Ghazal 32
Sher-o-Shayari 76
ahmiyat kā mujhe apnī bhī to andāza hai
tum ga.e vaqt kī mānind gañvā do mujh ko
ahmiyat ka mujhe apni bhi to andaza hai
tum gae waqt ki manind ganwa do mujh ko
- Add to favorites
-
Share this
ek muddat se ḳhayāloñ meñ basā hai jo shaḳhs
ġhaur karte haiñ to us kā koī chehra bhī nahīñ
ek muddat se KHayalon mein basa hai jo shaKHs
ghaur karte hain to us ka koi chehra bhi nahin
- Add to favorites
-
Share this
shiv to nahīñ ham phir bhī ham ne duniyā bhar ke zahr piye
itnī kaḌvāhaT hai muñh meñ kaise mīThī baat kareñ
shiw to nahin hum phir bhi hum ne duniya bhar ke zahr piye
itni kaDwahaT hai munh mein kaise miThi baat karen
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
maiñ ne ye soch ke bo.e nahīñ ḳhvāboñ ke daraḳht
kaun jañgal meñ uge peḌ ko paanī degā
main ne ye soch ke boe nahin KHwabon ke daraKHt
kaun jangal mein uge peD ko pani dega
- Add to favorites
-
Share this
- See Ghazal
mere hālāt ne yuuñ kar diyā patthar mujh ko
dekhne vāloñ ne dekhā bhī na chhū kar mujh ko
mere haalat ne yun kar diya patthar mujh ko
dekhne walon ne dekha bhi na chhu kar mujh ko
- Add to favorites
-
Share this