Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

apni biti hui rangin jawani dega

Aziz Bano Darab Wafa

apni biti hui rangin jawani dega

Aziz Bano Darab Wafa

apnī biitī huī rañgīn javānī degā

mujh ko tasvīr bhī degā to purānī degā

chhoḌ jā.egā mire jism meñ bikhrā ke mujhe

vaqt-e-ruḳhsat bhī vo ik shaam suhānī degā

umr bhar maiñ koī jaadū chhaḌī DhūñDūñgī

merī har raat ko pariyoñ kahānī degā

ham-safar miil patthar nazar aa.egā koī

fāsla phir mujhe us shaḳhs saanī degā

mere māthe lakīroñ meñ izāfa kar ke

vo bhī maazī tarah apnī nishānī degā

maiñ ne ye soch ke bo.e nahīñ ḳhvāboñ ke daraḳht

kaun jañgal meñ lage peḌ ko paanī degā

apni biti hui rangin jawani dega

mujh ko taswir bhi dega to purani dega

chhoD jaega mere jism mein bikhra ke mujhe

waqt-e-ruKHsat bhi wo ek sham suhani dega

umr bhar main koi jadu ki chhaDi DhunDungi

meri har raat ko pariyon ki kahani dega

ham-safar mil ka patthar nazar aaega koi

fasla phir mujhe us shaKHs ka sani dega

mere mathe ki lakiron mein izafa kar ke

wo bhi mazi ki tarah apni nishani dega

main ne ye soch ke boe nahin KHwabon ke daraKHt

kaun jangal mein lage peD ko pani dega

RECITATIONS

Azra Naqvi

Azra Naqvi,

Azra Naqvi

apni biti hui rangin jawani dega Azra Naqvi

Source :
  • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 482)
  • Author : Farooq Argali
  • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
  • Edition : 2004
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now